Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

masil-e-sail-e-rawan dasht-o-ju mein guzri hai

Shagufta Naim Hashmi

masil-e-sail-e-rawan dasht-o-ju mein guzri hai

Shagufta Naim Hashmi

MORE BYShagufta Naim Hashmi

    masīl-e-sail-e-ravāñ dasht-o-jū meñ guzrī hai

    hayāt hijr ke tauq-e-gulū meñ guzrī hai

    vahī to merī matā-e-hayāt hai jānāñ

    jo ek saañs tirī justujū meñ guzrī hai

    guloñ ko dasht vīrānagī nahīñ ma.alūm

    ki un ziist faqat rang-o-bū meñ guzrī hai

    kiyā thā dāman-e-dil chaak be-ruḳhī ne tirī

    hayāt saarī kār-e-rafū meñ guzrī hai

    tamām umr hasrat de ga.ī tohfa

    vo ik ghaḌī jo tirī aarzū meñ guzrī hai

    vo ek baat jo kahnī thī kah nahīñ paa.e

    agarche vasl shab guftugū meñ guzrī hai

    rahī hai girya-kunāñ chashm-e-nā-rasā daa.im

    hayāt chehre saarī vuzū meñ guzrī hai

    masil-e-sail-e-rawan dasht-o-ju mein guzri hai

    hayat hijr ke tauq-e-gulu mein guzri hai

    wahi to meri mata-e-hayat hai jaanan

    jo ek sans teri justuju mein guzri hai

    gulon ko dasht ki viranagi nahin malum

    ki un ki zist faqat rang-o-bu mein guzri hai

    kiya tha daman-e-dil chaak be-ruKHi ne teri

    hayat sari hi kar-e-rafu mein guzri hai

    tamam umr ki hasrat ka de gai tohfa

    wo ek ghaDi jo teri aarzu mein guzri hai

    wo ek baat jo kahni thi kah nahin pae

    agarche wasl ki shab guftugu mein guzri hai

    rahi hai girya-kunan chashm-e-na-rasa daim

    hayat chehre ki sari wuzu mein guzri hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now