Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya

Manzoor Hasan Nami

na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya

Manzoor Hasan Nami

MORE BYManzoor Hasan Nami

    na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya

    ishāre se usī ke chāhne vāloñ meñ naam aaya

    kise tāb-e-nazar thī diid jab hukm-e-ām aaya

    hazāroñ bijliyāñ kauñdīñ vo jab bālā-e-bām aaya

    mirī taqdīr tārīkiyāñ jab baḌh ga.iiñ had se

    siyah-ḳhāne meñ mere aap vo māh-e-tamām aaya

    huā ehsās ruḳhsat intihā-e-yās-o-hirmāñ meñ

    hameñ kyā ab agar us payām aaya salām aaya

    muqaddar tahī-dastī ne badlā rang-e-mahfil ko

    huī miinā tahī jis vaqt mujh tak daur-e-jām aaya

    jahāñ bhaTkī huī ḳhud rāhbar rahbarī niklī

    bil-āḳhir ek rāh-e-ishq meñ aisā maqām aaya

    tabāhī to usī din kā.enāt-e-ishq meñ aa.ī

    liye jab husn lākhoñ mahsharoñ ehtimām aaya

    nigāh-e-dil se maiñ ne husn ko ik baar dekhā thā

    ki lene ishq mujh se zindagī intiqām aaya

    nasīb-e-ishq the dār-o-rasan ai husn albatta

    ye kis ke sar rahā ilzām kis par ittihām aaya

    hai 'nāmī' dīdanī us sahar hashr-sāmānī

    balā.eñ ban ke jis kambaḳht par har-vaqt-e-shām aaya

    na jazb-e-shauq kaam aaya na soz-e-ishq kaam aaya

    ishaare se usi ke chahne walon mein nam aaya

    kise tab-e-nazar thi did ka jab hukm-e-am aaya

    hazaron bijliyan kaundin wo jab baala-e-baam aaya

    meri taqdir ki tarikiyan jab baDh gain had se

    siyah-KHane mein mere aap wo mah-e-tamam aaya

    hua ehsas ruKHsat intiha-e-yas-o-hirman mein

    hamein kya ab agar us ka payam aaya salam aaya

    muqaddar ki tahi-dasti ne badla rang-e-mahfil ko

    hui mina tahi jis waqt mujh tak daur-e-jam aaya

    jahan bhaTki hui KHud rahbar ki rahbari nikli

    bil-aKHir ek rah-e-ishq mein aisa maqam aaya

    tabahi to usi din kaenat-e-ishq mein aai

    liye jab husn lakhon mahsharon ka ehtimam aaya

    nigah-e-dil se main ne husn ko ek bar dekha tha

    ki lene ishq mujh se zindagi ka intiqam aaya

    nasib-e-ishq the dar-o-rasan ai husn albatta

    ye kis ke sar raha ilzam kis par ittiham aaya

    hai 'nami' didani us ki sahar ki hashr-samani

    balaen ban ke jis kambaKHt par har-waqt-e-sham aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now