Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir samaat ko bhi bhata hai rythm tartib se

Mohammad Tausif

phir samaat ko bhi bhata hai rythm tartib se

Mohammad Tausif

MORE BYMohammad Tausif

    phir samā.at ko bhī bhātā hai rythm tartīb se

    ho agar us meñ tire lahje dam tartīb se

    tujh se milte yuuñ khil jaate haiñ ham tartīb se

    juuñ ho patjhaḌ meñ bahāroñ janam tartīb se

    ek ik kar ke kareñge pesh sab farmā.isheñ

    ya.anī Dhaa.e jā.eñge tum par sitam tartīb se

    ho dil-e-muflis meñ ḳhūbāñ ko sukūñ kaise ki hai

    lā-muhāla dhaḌkanoñ zer-o-bam tartīb se

    yaar be-Dhanga chalan achchhā nahīñ hai ziist meñ

    ham usūlī haiñ uThā.eñge qadam tartīb se

    maut bar-haq to hai lekin ik qarīne tarah

    ḳhud ko maiñ le kar gayā sū-e-adam tartīb se

    juice chaa.e nāshta phir karte haiñ kuchh dauḌ-dhūp

    jab amīrī ho to bhartā hai shikam tartīb se

    rāste hamvār hote nahīñ mere liye

    Thokareñ khā ke banā huuñ maiñ taham tartīb se

    ahd-e-furqat chand aañsū aur hichkī maut

    vaqt-e-ruḳhsat hai so nikle hai nasam tartīb se

    zindagī meñ sirf bachpan ko muyassar hai sukūñ

    phir javānī aur za.īfī haiñ alam tartīb se

    chaar unsur yuuñ to haiñ taḳhlīq-e-insāñ meñ magar

    pāñchvāñ dukh mujh meñ shāmil hai baham tartīb se

    sab suntā thā kabhī rūdād 'alvī' shauq se

    jhuuT sun sun ke banā hai ye asam tartīb se

    phir samaat ko bhi bhata hai rythm tartib se

    ho agar us mein tere lahje ka dam tartib se

    tujh se milte hi yun khil jate hain hum tartib se

    jun ho patjhaD mein bahaaron ka janam tartib se

    ek ek kar ke karenge pesh sab farmaishen

    yani Dhae jaenge tum par sitam tartib se

    ho dil-e-muflis mein KHuban ko sukun kaise ki hai

    la-muhaala dhaDkanon ka zer-o-bam tartib se

    yar be-Dhanga chalan achchha nahin hai zist mein

    hum usuli hain uThaenge qadam tartib se

    maut bar-haq to hai lekin ek qarine ki tarah

    KHud ko main le kar gaya su-e-adam tartib se

    juice chae nashta phir karte hain kuchh dauD-dhup

    jab amiri ho to bharta hai shikam tartib se

    raste hamwar hote hi nahin mere liye

    Thokaren kha ke bana hun main taham tartib se

    ahd-e-furqat chand aansu aur hichki maut ki

    waqt-e-ruKHsat hai so nikle hai nasam tartib se

    zindagi mein sirf bachpan ko muyassar hai sukun

    phir jawani aur zaifi hain alam tartib se

    chaar unsur yun to hain taKHliq-e-insan mein magar

    panchwan dukh mujh mein shamil hai baham tartib se

    sab ki sunta tha kabhi rudad 'alwi' shauq se

    jhuT sun sun ke bana hai ye asam tartib se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now