aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath

Khwaja Meer Dard

rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    rabt hai nāz-e-butāñ ko to mirī jaan ke saath

    hai vābasta mirā un har ik aan ke saath

    apne hāthoñ ke bhī maiñ zor dīvāna huuñ

    raat din kushtī rahtī hai garebān ke saath

    jo jafā-jū haiñ unheñ sañg-dilī lāzim hai

    kaam talvār ko rahtā hai sadā saan ke saath

    gar masīhā-nafasī hai yahī mutrib to ḳhair

    jaate haiñ chale terī har ik taan ke saath

    'dard' har-chand maiñ zāhir meñ to huuñ mor-e-za.īf

    zor nisbat hai vale mujh ko 'sulaimān' ke saath

    rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath

    ji hai wabasta mera un ki har ek aan ke sath

    apne hathon ke bhi main zor ka diwana hun

    raat din kushti hi rahti hai gareban ke sath

    jo jafa-ju hain unhen sang-dili lazim hai

    kaam talwar ko rahta hai sada san ke sath

    gar masiha-nafasi hai yahi mutrib to KHair

    ji hi jate hain chale teri har ek tan ke sath

    'dard' har-chand main zahir mein to hun mor-e-zaif

    zor nisbat hai wale mujh ko 'sulaiman' ke sath

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    rabt hai naz-e-butan ko to meri jaan ke sath Fasih Akmal

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now