Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

roz raushan rahen haalat zaruri to nahin

Gopal Krishn Shafaq

roz raushan rahen haalat zaruri to nahin

Gopal Krishn Shafaq

MORE BYGopal Krishn Shafaq

    roz raushan raheñ hālāt zarūrī to nahīñ

    chāñdnī raat ho har raat zarūrī to nahīñ

    barq gir jaa.e agar ghar bhī jalā saktī hai

    us ke pahlū meñ ho barsāt zarūrī to nahīñ

    dāman-e-ishq meñ raḳhshāñ haiñ hazāroñ ḳhushiyāñ

    ġham ho ishq sauġhāt zarūrī to nahīñ

    mast āñkhoñ se bhī ham pyaas bujhā sakte haiñ

    baḳhshish-e-mīr-e-ḳharābāt zarūrī to nahīñ

    ham ko ronā hai to ro leñge kahīñ bhī kar

    husn bazm-e-tilismāt zarūrī to nahīñ

    un yādoñ se taḳhayyul ko sajā.e rakhiye

    ho kabhī un se mulāqāt zarūrī to nahīñ

    din badalte haiñ to rishte bhī badal jaate haiñ

    umr bhar un ināyāt zarūrī to nahīñ

    ai 'shafaq' aap kuchh sūrat-e-iz.hār kareñ

    un jānib se chale baat zarūrī to nahīñ

    roz raushan rahen haalat zaruri to nahin

    chandni raat ho har raat zaruri to nahin

    barq gir jae agar ghar bhi jala sakti hai

    us ke pahlu mein ho barsat zaruri to nahin

    daman-e-ishq mein raKHshan hain hazaron KHushiyan

    gham hi ho ishq ki saughat zaruri to nahin

    mast aankhon se bhi hum pyas bujha sakte hain

    baKHshish-e-mir-e-KHarabaat zaruri to nahin

    hum ko rona hai to ro lenge kahin bhi ja kar

    husn ki bazm-e-tilismat zaruri to nahin

    un ki yaadon se taKHayyul ko sajae rakhiye

    ho kabhi un se mulaqat zaruri to nahin

    din badalte hain to rishte bhi badal jate hain

    umr bhar un ki inayat zaruri to nahin

    ai 'shafaq' aap hi kuchh surat-e-izhaar karen

    un ki jaanib se chale baat zaruri to nahin

    Source:

    Mauj-e-shafaq (Pg. 25)

    • Author: Dr. Gopal Krishn Shafaq
      • Edition: 1995
      • Publisher: Dr. Gopal Krishn Shafaq
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now