aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sifarish ki zarurat hi na hoti

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

sifarish ki zarurat hi na hoti

Ghaus Khah makhah Hyderabadi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    sifārish zarūrat na hotī

    navāzish zarūrat na hotī

    agar aatā hameñ haq chhīn lenā

    guzārish zarūrat na hotī

    agar sūkhe kueñ shabnam se bharte

    to bārish zarūrat na hotī

    nahīñ aate agar duniyā meñ ham to

    rihā.ish zarūrat na hotī

    hasīnoñ jo hotā husn saada

    numā.ish zarūrat na hotī

    agar hotā na shauq-e-ḳhud-sanā.ī

    satā.ish zarūrat na hotī

    siyāsat-dāñ jo tab.ī maut marte

    to sāzish zarūrat na hotī

    agar tum 'ḳhvāh-maḳhvāh' karte qanā.at

    to ḳhvāhish zarūrat na hotī

    sifarish ki zarurat hi na hoti

    nawazish ki zarurat hi na hoti

    agar aata hamein haq chhin lena

    guzarish ki zarurat hi na hoti

    agar sukhe kuen shabnam se bharte

    to barish ki zarurat hi na hoti

    nahin aate agar duniya mein hum to

    rihaish ki zarurat hi na hoti

    hasinon ka jo hota husn sada

    numaish ki zarurat hi na hoti

    agar hota na shauq-e-KHud-sanai

    sataish ki zarurat hi na hoti

    siyasat-dan jo tabi maut marte

    to sazish ki zarurat hi na hoti

    agar tum 'KHwah-maKHwah' karte qanaat

    to KHwahish ki zarurat hi na hoti

    Source:

    (Pg. 110)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now