Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai

Zaheer Siddiqui

sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    sūkhe hue pattoñ meñ āvāz ḳhushbū hai

    alfāz ke sahrā meñ taḳh.īl aahū hai

    jaate hue sūraj ik tirchhī nazar thī

    tab sharm sindūr thā ab hijr gesū hai

    mas.hūr fazā kyuuñ hai majbūr sabā kyuuñ hai

    rañgoñ ke hisāroñ meñ naġhmāt jaadū hai

    maujoñ se ulajhnā kyā tūfān se guzarnā kyā

    har Dūbne vaale ko ehsās-e-lab-e-jū hai

    is daur-e-ḳhirad meñ bhī ai kaash ye mumkin ho

    soche ki bas maiñ huuñ maiñ samjhūñ ki bas hai

    kab aañkh jhapak jaa.e tasvīr badal jaa.e

    har lamha subuk-rau hai har jalva tunuk-ḳhū hai

    bāzār-e-tamannā har chiiz nāzuk hai

    ajnās-e-ġham-e-dil haiñ palkoñ tarāzū hai

    sukhe hue patton mein aawaz ki KHushbu hai

    alfaz ke sahra mein taKHil ka aahu hai

    jate hue suraj ki ek tirchhi nazar hi thi

    tab sharm ka sindur tha ab hijr ka gesu hai

    mashur faza kyun hai majbur saba kyun hai

    rangon ke hisaron mein naghmat ka jadu hai

    maujon se ulajhna kya tufan se guzarna kya

    har Dubne wale ko ehsas-e-lab-e-ju hai

    is daur-e-KHirad mein bhi ai kash ye mumkin ho

    tu soche ki bas main hun main samjhun ki bas tu hai

    kab aankh jhapak jae taswir badal jae

    har lamha subuk-rau hai har jalwa tunuk-KHu hai

    bazar-e-tamanna ki har chiz hi nazuk hai

    ajnas-e-gham-e-dil hain palkon ki taraazu hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now