Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tab safha-safha kaisa khula ja raha tha main

Saqib Humraaz

tab safha-safha kaisa khula ja raha tha main

Saqib Humraaz

MORE BYSaqib Humraaz

    tab saf.ha-saf.ha kaisā khulā rahā thā maiñ

    tum chhū rahī thī aur jalā rahā thā maiñ

    phir vāpsī pe duur se dekhā tirī taraf

    dekhā tirī taraf ko chalā rahā thā maiñ

    maiñ ro rahā thā aur dhulī rahī thiiñ tum

    tum ro rahī thiiñ aur dhulā rahā thā maiñ

    itnī sakat kahāñ thī ki ḳhud ko rafū karūñ

    kuchh dostoñ ke hāthoñ silā rahā thā maiñ

    lahreñ to māntī thiiñ kināra mujhe magar

    kaT-kaT ke ḳhud nadī meñ milā rahā thā maiñ

    chhū chhū ke hāthoñ-hāth guzārā gayā mujhe

    Thahre hue the log Talā rahā thā maiñ

    maiñ qatra-e-sukūñ tarāvaT se Dar gayā

    kaisī namī huī thī galā rahā thā maiñ

    shatranj-e-zindagī meñ ajab uljhaneñ rahīñ

    merī muḳhālifat meñ chalā rahā thā maiñ

    vo to bhalā ho mujh ko ḳhizāñ ne jagā diyā

    varna kisī gumāñ meñ khulā rahā thā maiñ

    sab chāhte the mere vasīle se ho sahar

    ḳhvāhish mirī bhī thī pa Dhalā rahā thā maiñ

    tab safha-safha kaisa khula ja raha tha main

    tum chhu rahi thi aur jala ja raha tha main

    phir wapsi pe dur se dekha teri taraf

    dekha teri taraf ko chala ja raha tha main

    main ro raha tha aur dhuli ja rahi thin tum

    tum ro rahi thin aur dhula ja raha tha main

    itni sakat kahan thi ki KHud ko rafu karun

    kuchh doston ke hathon sila ja raha tha main

    lahren to manti thin kinara mujhe magar

    kaT-kaT ke KHud nadi mein mila ja raha tha main

    chhu chhu ke hathon-hath guzara gaya mujhe

    Thahre hue the log Tala ja raha tha main

    main qatra-e-sukun ki tarawaT se Dar gaya

    kaisi nami hui thi gala ja raha tha main

    shatranj-e-zindagi mein ajab uljhanen rahin

    meri muKHalifat mein chala ja raha tha main

    wo to bhala ho mujh ko KHizan ne jaga diya

    warna kisi guman mein khula ja raha tha main

    sab chahte the mere wasile se ho sahar

    KHwahish meri bhi thi pa Dhala ja raha tha main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now