Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wajd karti ek dua kachche makanon se uThi

Ahmad Jahangir

wajd karti ek dua kachche makanon se uThi

Ahmad Jahangir

MORE BYAhmad Jahangir

    vajd kartī ik duā kachche makānoñ se uThī

    raushnī tasbīh ke rañgīn dānoñ se uThī

    surḳh aafat se muzayyan taḳhta-e-gul sahar

    shab ko nāranjī qayāmat sham.a-dānoñ se uThī

    sabza-o-gul sab achānak nīlgūñ hone lage

    yak-ba-yak jab zard maaTī āsmānoñ se uThī

    laad laane ke liye sarsabz añgūroñ ras

    hukm aate magas chhatte ke ḳhānoñ se uThī

    maiñ suḳhan rab-e-ahad ke fazl se karne lagā

    isti.āroñ chamak mere ḳhazānoñ se uThī

    ghanTiyāñ nāqūs tāshe sab gulāb-e-sub.h haiñ

    par sahar-ḳhezī ḳhushbū bas azānoñ se uThī

    wajd karti ek dua kachche makanon se uThi

    raushni tasbih ke rangin danon se uThi

    surKH aafat se muzayyan taKHta-e-gul ki sahar

    shab ko naranji qayamat shama-danon se uThi

    sabza-o-gul sab achanak nilgun hone lage

    yak-ba-yak jab zard maTi aasmanon se uThi

    lad lane ke liye sarsabz anguron ka ras

    hukm aate hi magas chhatte ke KHanon se uThi

    main suKHan rab-e-ahad ke fazl se karne laga

    istiaron ki chamak mere KHazanon se uThi

    ghanTiyan naqus tashe sab gulab-e-subh hain

    par sahar-KHezi ki KHushbu bas azanon se uThi

    Source:

    Tasteer (Pg. 257)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now