Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bhul gaya mujhse barson ki shanasai

Barqi Azmi

wo bhul gaya mujhse barson ki shanasai

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    vo bhuul gayā mujh se barsoñ shanāsā.ī

    lamhoñ ne ḳhatā thī sadiyoñ ne sazā paa.ī

    hālāt ab maiñ huuñ ḳhāmosh tamāshā.ī

    bhaa.ī se taḌaptā hai milne ke liye bhaa.ī

    tasvīr tasavvur bas ek sahārā hai

    furqat ne banā Daalā us mujhe saudā.ī

    jazbāt the be-qābū kartā bhī to kyā kartā

    us rashk-e-gul-e-tar jab yaad mujhe aa.ī

    yādoñ ke jharokoñ se hasrat hai use dekhūñ

    pahle thā jo āñkhoñ merī kabhī bīnā.ī

    vo dekhnā muḌ muḌ kar us mujhe hasrat se

    baaqī na rahī merī jab quvvat-e-goyā.ī

    jo tār-e-rag-e-jāñ par har-vaqt ġhazal-ḳhvāñ thī

    ras gholtī hai ab bhī kānoñ meñ vo shahnā.ī

    duzdīda-nigāhī meñ kho jaatā thā dil jin

    un jhiil āñkhoñ yaad aa.ī hai gahrā.ī

    detā hai koī dastak aa aa ke dar-e-dil par

    kaaTe nahīñ kaTtī hai 'barqī' shab-e-tanhā.ī

    wo bhul gaya mujh se barson ki shanasai

    lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai

    haalat ka ab main hun KHamosh tamashai

    bhai se taDapta hai milne ke liye bhai

    taswir tasawwur hi bas ek sahaara hai

    furqat ne bana Dala us ki mujhe saudai

    jazbaat the be-qabu karta bhi to kya karta

    us rashk-e-gul-e-tar ki jab yaad mujhe aai

    yaadon ke jharokon se hasrat hai use dekhun

    pahle tha jo aankhon ki meri kabhi binai

    wo dekhna muD muD kar us ka mujhe hasrat se

    baqi na rahi meri jab quwwat-e-goyai

    jo tar-e-rag-e-jaan par har-waqt ghazal-KHwan thi

    ras gholti hai ab bhi kanon mein wo shahnai

    duzdida-nigahi mein kho jata tha dil jin ki

    un jhil si aankhon ki yaad aai hai gahrai

    deta hai koi dastak aa aa ke dar-e-dil par

    kaTe nahin kaTti hai 'barqi' shab-e-tanhai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now