Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya

Asra Rizvi

wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya

Asra Rizvi

MORE BYAsra Rizvi

    vo shaḳhs phir kahānī unvān ban gayā

    maiñ dard likh rahī thī vo dīvān ban gayā

    gardish meñ chāroñ samt rahe us ke lafz lafz

    kuchh yuuñ huā ke aaj vo mehmān ban gayā

    ḳhush thī maiñ us ko baḳhsh ke kirdār phir nayā

    vo merī dil-lagī bhī sāmān ban gayā

    mahfil uruuj par thī ki nazreñ ulajh paḌīñ

    sab jān-būjh ke bhī vo anjān ban gayā

    jab us ishq ḳhuun dhāroñ meñ hal huā

    mere liye to lūlū-o-marjān ban gayā

    itne taġhayyurāt ke allāh panāh

    har karb mere ishq tāvān ban gayā

    lazzat to aañkh ne bhī uThā.ī thī saarī raat

    ik ḳhvāb merī ruuh sohān ban gayā

    kuchh aur ramz mujh pe kiye jaa.eñ āshkār

    us taraf se ye nayā farmān ban gayā

    'asrā' qadam sambhāl ke rakhnā zamīn par

    shaitān kah rahā hai ki rahmān ban gayā

    wo shaKHs phir kahani ka unwan ban gaya

    main dard likh rahi thi wo diwan ban gaya

    gardish mein chaaron samt rahe us ke lafz lafz

    kuchh yun hua ke aaj wo mehman ban gaya

    KHush thi main us ko baKHsh ke kirdar phir naya

    wo meri dil-lagi ka bhi saman ban gaya

    mahfil uruj par thi ki nazren ulajh paDin

    sab jaan-bujh ke bhi wo anjaan ban gaya

    jab us ka ishq KHun ki dhaaron mein hal hua

    mere liye to lulu-o-marjaan ban gaya

    itne taghayyuraat ke allah ki panah

    har karb mere ishq ka tawan ban gaya

    lazzat to aankh ne bhi uThai thi sari raat

    ek KHwab meri ruh ka sohan ban gaya

    kuchh aur ramz mujh pe kiye jaen aashkar

    us ki taraf se ye naya farman ban gaya

    'asra' qadam sambhaal ke rakhna zamin par

    shaitan kah raha hai ki rahman ban gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now