Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yar ab hai so kuchh ajab hai re

Qazi Mahmud Behri

yar ab hai so kuchh ajab hai re

Qazi Mahmud Behri

MORE BYQazi Mahmud Behri

    yaar ab hai so kuchh ajab hai re

    ab jo sab hai so kuchh ajab hai re

    ya.anī nasūt yak ajab hai maqām

    u ajab hai so kuchh ajab hai re

    ek kuchh boltā hai yak ḳhāmosh

    pan talab hai so kuchh ajab hai re

    ab to hai dil-barāñ man be-dil

    jāñ-ba-lab hai so kuchh ajab hai re

    rañg achho zulf achho o zebā-ḳhāl

    o jo chhab hai so kuchh ajab hai re

    goñd rākhī kuuñ b karāmat jaan

    jab ke tab hai so kuchh ajab hai re

    'bahriyā' be-adab hai be-īmān

    ki adab hai so kuchh ajab hai re

    yar ab hai so kuchh ajab hai re

    ab jo sab hai so kuchh ajab hai re

    yani nasut yak ajab hai maqam

    u ajab hai so kuchh ajab hai re

    ek kuchh bolta hai yak KHamosh

    pan talab hai so kuchh ajab hai re

    ab to hai dil-baran ki man be-dil

    jaan-ba-lab hai so kuchh ajab hai re

    rang achho zulf achho o zeba-KHal

    o jo chhab hai so kuchh ajab hai re

    gond rakhi kun b karamat jaan

    jab ke tab hai so kuchh ajab hai re

    'bahriya' be-adab hai be-iman

    ki adab hai so kuchh ajab hai re

    Source:

    Kulliyat-e-Behri (Pg. e-223 p-216)

    • Author: Qazi Mahmud Behri
      • Edition: 1939
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now