Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne wali

M Kothiyavi Rahi

yas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne wali

M Kothiyavi Rahi

MORE BYM Kothiyavi Rahi

    yaas makān-e-dil se nikal kar kone kone jalne vaalī

    darmāñda lauT aa.ī hai raat hai shāyad Dhalne vaalī

    tum ko hamārī chaah nahīñ hai jab se ye vishvās huā hai

    har tahrīr jalā Daalī hai soch hai ruup badalne vaalī

    chāñd ḳhuddārī se maiñ ab dars-e-ḳhud-āgahī letā huuñ

    varna ye māyūsī zulmat sadiyoñ se thī badalne vaalī

    gītoñ ko dafnā do yahīñ par chīḳhoñ ke uslūb janm do

    hañgāmoñ riit yahī hai aur yahī hai chalne vaalī

    kaise kaise sāhib-e-nazrāñ sar-ba-garebāñ ghuum rahe haiñ

    aaj hai jaane kis savārī fan ke makāñ se nikalne vaalī

    yas makan-e-dil se nikal kar kone kone jalne wali

    darmanda si lauT aai hai raat hai shayad Dhalne wali

    tum ko hamari chah nahin hai jab se ye wishwas hua hai

    har tahrir jala Dali hai soch hai rup badalne wali

    chand ki KHuddari se main ab dars-e-KHud-agahi leta hun

    warna ye mayusi ki zulmat sadiyon se thi badalne wali

    giton ko dafna do yahin par chiKHon ke uslub janm do

    hangamon ki rit yahi hai aur yahi hai chalne wali

    kaise kaise sahib-e-nazran sar-ba-gareban ghum rahe hain

    aaj hai jaane kis ki sawari fan ke makan se nikalne wali

    Source:

    Shafaq Ke Phool (Pg. 132)

    • Author: M Kothiyavi Rahi
      • Publisher: M Kothiyavi Rahi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now