Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phuTa kiye piyale lunDhta phira qaraba

Meer Taqi Meer

phuTa kiye piyale lunDhta phira qaraba

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    phūTā kiye piyāle luñDhtā phirā qarābā

    mastī meñ merī thā yaañ ik shor aur sharābā

    hikmat hai kuchh jo gardūñ yaksāñ phirā kare hai

    chaltā nahīñ vagarna shām-o-sahar 'urābā

    bāham huā kareñ haiñ din-rāt nīche uupar

    ye narm-shāne lauñDe haiñ maḳhmal-e-do-ḳhvābā

    in sohbatoñ meñ āḳhir jāneñ jātiyāñ haiñ

    nai 'ishq ko hai sarfa nai husn ko muhābā

    har-chand nā-tavāñ haiñ par aa gayā jo meñ

    deñge milā zamīñ se terā falak qalāba

    ve din ga.e ki āñkheñ dariyā bahtiyāñ thiiñ

    sūkhā paḌā hai ab to muddat se ye do-ābā

    muñh dhote vaqt us ke aksar dikhā.ī de hai

    ḳhurshīd le rahā hai ik roz āftāba

    ab shahr har taraf se maidān ho gayā hai

    phailā thā is tarah kaahe ko yaañ ḳharāba

    dil-taftagī apnī hijrāñ meñ sharh kyā duuñ

    chhātī to 'mīr' merī jal kar huī hai taaba

    phuTa kiye piyale lunDhta phira qaraba

    masti mein meri tha yan ek shor aur sharaba

    hikmat hai kuchh jo gardun yaksan phira kare hai

    chalta nahin wagarna sham-o-sahar 'uraba

    baham hua karen hain din-raat niche upar

    ye narm-shane launDe hain maKHmal-e-do-KHwaba

    in sohbaton mein aaKHir jaanen hi jatiyan hain

    nai 'ishq ko hai sarfa nai husn ko muhaba

    har-chand na-tawan hain par aa gaya jo ji mein

    denge mila zamin se tera falak qalaba

    we din gae ki aankhen dariya si bahtiyan thin

    sukha paDa hai ab to muddat se ye do-aba

    munh dhote waqt us ke aksar dikhai de hai

    KHurshid le raha hai ek roz aaftaba

    ab shahr har taraf se maidan ho gaya hai

    phaila tha is tarah ka kahe ko yan KHaraba

    dil-taftagi ki apni hijran mein sharh kya dun

    chhati to 'mir' meri jal kar hui hai taba

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0060

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now