Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye hasrat hai marun usMein liye labrez paimana

Meer Taqi Meer

ye hasrat hai marun usMein liye labrez paimana

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ye hasrat hai marūñ us meñ liye labrez paimānā

    mahaktā ho nipaT jo phuul daarū se mai-ḳhāna

    na ve zanjīr ke ġhul haiñ na ve jirge ġhazāloñ ke

    mire dīvān-pan tak rahā mā'mūr vīrānā

    mirā sar naz' meñ zaanū pe rakh kar yuuñ lagā kahne

    ki ai bīmār mere tujh pe jald āsāñ ho mar jaanā

    na ho kyoñ reḳhta be-shorish-o-kaifiyyat-o-mā’nī

    gayā ho 'mīr' dīvāna rahā 'saudā' so mastāna

    ye hasrat hai marun us mein liye labrez paimana

    mahakta ho nipaT jo phul si daru se mai-KHana

    na we zanjir ke ghul hain na we jirge ghazalon ke

    mere diwan-pan tak hi raha ma'mur virana

    mera sar naz' mein zanu pe rakh kar yun laga kahne

    ki ai bimar mere tujh pe jald aasan ho mar jaana

    na ho kyon reKHta be-shorish-o-kaifiyyat-o-ma’ni

    gaya ho 'mir' diwana raha 'sauda' so mastana

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0084

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now