Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak ka munh nahin is fitne ke uThane ka

Meer Taqi Meer

falak ka munh nahin is fitne ke uThane ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    falak muñh nahīñ is fitne ke uThāne

    sitam-sharīk tirā naaz hai zamāne

    hamāre zo.af hālat se dil qavī rakhiyo

    kahīñ ḳhayāl nahīñ yaañ bahāl aane

    tirī raah meñ maare ga.e sabhī āḳhir

    safar to ham ko hai darpesh se jaane

    bisān-e-sham.a jo majlis se ham ga.e to ga.e

    surāġh kiijo na phir nishān paane

    chaman meñ dekh nahīñ saktī Tuk ki chubhtā hai

    jigar meñ barq ke kāñTā mujh āshiyāne

    Tuk aa to tā-sar-e-bālīñ na kar ta'allul kyā

    tujhe bhī shoḳh yahī vaqt hai bahāne

    sarāhā un ne tirā haath jin ne dekhā zaḳhm

    shahīd huuñ maiñ tirī teġh ke lagāne

    sharīf-e-makka rahā hai tamām umr ai shaiḳh

    ye 'mīr' ab jo gadā hai sharāb-ḳhāne

    falak ka munh nahin is fitne ke uThane ka

    sitam-sharik tera naz hai zamane ka

    hamare zoaf ki haalat se dil qawi rakhiyo

    kahin KHayal nahin yan bahaal aane ka

    teri hi rah mein mare gae sabhi aaKHir

    safar to hum ko hai darpesh ji se jaane ka

    bisan-e-shama jo majlis se hum gae to gae

    suragh kijo na phir tu nishan pane ka

    chaman mein dekh nahin sakti Tuk ki chubhta hai

    jigar mein barq ke kanTa mujh aashiyane ka

    Tuk aa to ta-sar-e-baalin na kar ta'allul kya

    tujhe bhi shoKH yahi waqt hai bahane ka

    saraha un ne tera hath jin ne dekha zaKHm

    shahid hun main teri tegh ke lagane ka

    sharif-e-makka raha hai tamam umr ai shaiKH

    ye 'mir' ab jo gada hai sharab-KHane ka

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0094

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now