Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-daur-e-falak bhi dekhun apne ru-ba-ru TuTa

Meer Taqi Meer

sar-e-daur-e-falak bhi dekhun apne ru-ba-ru TuTa

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    sar-e-daur-e-falak bhī dekhūñ apne rū-ba-rū TuuTā

    ki sang-e-mohtasib se pā-e-ḳhum dast-e-subū TuuTā

    kahāñ aate mayassar tujh se mujh ko ḳhud-numā itne

    huā yuuñ ittifāq ā.īna mere rū-ba-rū TuuTā

    kaf-e-chālāk meñ terī jo thā sar-rishta jānoñ

    garebāñ se mire har ik tirā Tāñkā rafū TuuTā

    tarāvat thī chaman meñ sarv goyā ashk-e-qumrī se

    udhar āñkheñ muñdīñ us ki īdhar āb-e-jū TuuTā

    ḳhatar kar na lag chal ai sabā us zulf se itnā

    balā āvegī tere sar jo us ek TuuTā

    vo be-kas kyā kare kah rahī dil dil meñ

    nipaT bejā tirā dil 'mīr' se ai aarzū TuuTā

    sar-e-daur-e-falak bhi dekhun apne ru-ba-ru TuTa

    ki sang-e-mohtasib se pa-e-KHum dast-e-subu TuTa

    kahan aate mayassar tujh se mujh ko KHud-numa itne

    hua yun ittifaq aaina mere ru-ba-ru TuTa

    kaf-e-chaalak mein teri jo tha sar-rishta jaanon ka

    gareban se mere har ek tera Tanka rafu TuTa

    tarawat thi chaman mein sarw goya ashk-e-qumri se

    udhar aankhen mundin us ki ki idhar aab-e-ju TuTa

    KHatar kar tu na lag chal ai saba us zulf se itna

    bala aawegi tere sar jo us ka ek mu TuTa

    wo be-kas kya kare kah tu rahi dil hi ki dil hi mein

    nipaT beja tera dil 'mir' se ai aarzu TuTa

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0120

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now