Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna

Meer Taqi Meer

aankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    āñkhoñ meñ mirā hai idhar yaar dekhnā

    āshiq apne āḳhirī dīdār dekhnā

    kaisā chaman ki ham se asīroñ ko manā hai

    chāk-e-qafas se baaġh dīvār dekhnā

    āñkheñ churā.iyo na Tuk abr-e-bahār se

    merī taraf bhī dīda-e-ḳhūñ-bār dekhnā

    ai ham-safar na aable ko pahuñche chashm-e-tar

    laagā hai mere paañv meñ aa ḳhaar dekhnā

    honā na chaar chashm-e-dil us zulm-pesha se

    hushiyār zīnhār ḳhabar-dār dekhnā

    sayyād dil hai dāġh-e-judā.ī se rashk-e-bāġh

    tujh ko bhī ho nasīb ye gulzār dekhnā

    gar zamzama yahī hai koī din to ham-safīr

    is fasl meñ ham ko giraftār dekhnā

    bulbul hamāre gul pe na gustāḳh kar nazar

    ho jā.egā gale kahīñ haar dekhnā

    shāyad hamārī ḳhaak se kuchh ho bhī ai nasīm

    ġhirbāl kar ke kūcha-e-dildār dekhnā

    us ḳhush-nigah ke ishq se parhez kiijo 'mīr'

    jaatā hai le ke ye āzār dekhnā

    aankhon mein ji mera hai idhar yar dekhna

    aashiq ka apne aaKHiri didar dekhna

    kaisa chaman ki hum se asiron ko mana hai

    chaak-e-qafas se bagh ki diwar dekhna

    aankhen churaiyo na Tuk abr-e-bahaar se

    meri taraf bhi dida-e-KHun-bar dekhna

    ai ham-safar na aable ko pahunche chashm-e-tar

    laga hai mere panw mein aa KHar dekhna

    hona na chaar chashm-e-dil us zulm-pesha se

    hushiyar zinhaar KHabar-dar dekhna

    sayyaad dil hai dagh-e-judai se rashk-e-bagh

    tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna

    gar zamzama yahi hai koi din to ham-safir

    is fasl hi mein hum ko giraftar dekhna

    bulbul hamare gul pe na gustaKH kar nazar

    ho jaega gale ka kahin haar dekhna

    shayad hamari KHak se kuchh ho bhi ai nasim

    ghirbaal kar ke kucha-e-dildar dekhna

    us KHush-nigah ke ishq se parhez kijo 'mir'

    jata hai le ke ji hi ye aazar dekhna

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0121

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now