Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHan-mushtaq hai aalam hamara

Meer Taqi Meer

suKHan-mushtaq hai aalam hamara

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    suḳhan-mushtāq hai aalam hamārā

    ġhanīmat hai jahāñ meñ dam hamārā

    rahe ham ālam-e-mastī meñ aksar

    rahā kuchh aur aalam hamārā

    bahut duur ham se bhāgte ho

    karo ho paas kuchh to kam hamārā

    bikhar jaate haiñ kuchh gesū tumhāre

    huā hai kām-e-dil barham hamārā

    rakhe rahte haiñ dil par haath ai 'mīr'

    yahīñ shāyad ki hai sab ġham hamārā

    suKHan-mushtaq hai aalam hamara

    ghanimat hai jahan mein dam hamara

    rahe hum aalam-e-masti mein aksar

    raha kuchh aur hi aalam hamara

    bahut hi dur hum se bhagte ho

    karo ho pas kuchh to kam hamara

    bikhar jate hain kuchh gesu tumhaare

    hua hai kaam-e-dil barham hamara

    rakhe rahte hain dil par hath ai 'mir'

    yahin shayad ki hai sab gham hamara

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1541

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now