aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai

Meer Taqi Meer

patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    pattā pattā buuTā buuTā haal hamārā jaane hai

    jaane na jaane gul na jaane baaġh to saarā jaane hai

    lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak

    us ko falak chashm-e-mah-o-ḳhur putlī taarā jaane hai

    aage us mutakabbir ke ham ḳhudā ḳhudā kiyā karte haiñ

    kab maujūd ḳhudā ko vo maġhrūr-e-ḳhud-ārā jaane hai

    āshiq to saada koī aur na hogā duniyā meñ

    ke ziyāñ ko ishq meñ us ke apnā vaarā jaane hai

    chāragarī bīmāri-e-dil rasm-e-shahr-e-husn nahīñ

    varna dilbar-e-nādāñ bhī is dard chāra jaane hai

    kyā shikār-farebī par maġhrūr hai vo sayyād bacha

    taa.ir uḌte havā meñ saare apne asārā jaane hai

    mehr o vafā o lutf-o-ināyat ek se vāqif in meñ nahīñ

    aur to sab kuchh tanz o kināya ramz o ishāra jaane hai

    kyā kyā fitne sar par us ke laatā hai māshūq apnā

    jis be-dil be-tāb-o-tavāñ ko ishq maarā jaane hai

    raḳhnoñ se dīvār-e-chaman ke muñh ko le hai chhupā yaanī

    in surāḳhoñ ke Tuk rahne ko sau nazāra jaane hai

    tishna-e-ḳhūñ hai apnā kitnā 'mīr' bhī nādāñ talḳhī-kash

    dam-dār āb-e-teġh ko us ke āb-e-gavārā jaane hai

    patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai

    jaane na jaane gul hi na jaane bagh to sara jaane hai

    lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak

    us ko falak chashm-e-mah-o-KHur ki putli ka tara jaane hai

    aage us mutakabbir ke hum KHuda KHuda kiya karte hain

    kab maujud KHuda ko wo maghrur-e-KHud-ara jaane hai

    aashiq sa to sada koi aur na hoga duniya mein

    ji ke ziyan ko ishq mein us ke apna wara jaane hai

    chaaragari bimari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin

    warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chaara jaane hai

    kya hi shikar-farebi par maghrur hai wo sayyaad bacha

    tair uDte hawa mein sare apne asara jaane hai

    mehr o wafa o lutf-o-inayat ek se waqif in mein nahin

    aur to sab kuchh tanz o kinaya ramz o ishaara jaane hai

    kya kya fitne sar par us ke lata hai mashuq apna

    jis be-dil be-tab-o-tawan ko ishq ka mara jaane hai

    raKHnon se diwar-e-chaman ke munh ko le hai chhupa yani

    in suraKHon ke Tuk rahne ko sau ka nazara jaane hai

    tishna-e-KHun hai apna kitna 'mir' bhi nadan talKHi-kash

    dam-dar aab-e-tegh ko us ke aab-e-gawara jaane hai

    RECITATIONS

    Shamsur Rahman Faruqi

    Shamsur Rahman Faruqi,

    Shamsur Rahman Faruqi

    patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai Shamsur Rahman Faruqi

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1736

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now