Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo log aasman ne yan KHak kar uDae

Meer Taqi Meer

jo log aasman ne yan KHak kar uDae

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jo log āsmāñ ne yaañ ḳhaak kar uḌaa.e

    be-‘ibratoñ ne le kar ḳhaak un ghar banā.e

    rahne koī jāgah shāyad na thī unhoñ

    jo yaañ se uTh ga.e haiñ ve phir kabhū na aa.e

    qaaf

    laḌke barahmanoñ ke sandal bharī jabīneñ

    hindostāñ meñ dekhe so un se dil lagā.e

    har ik sanam-kada kyā kāfir jagah hai ham ne

    qashqe bhī yaañ khiñchāe zunnār bhī bañdhā.e

    pāmāl log kyā kyā aage hue haiñ tum se

    is par bhī tum jo aa.e yaañ tum ne sar uThā.e

    kyā ghūrte ho har dam Darte nahīñ haiñ kuchh ham

    jin āñkhoñ par haiñ 'āshiq un āñkhoñ ke dikhā.e

    āh-e-sharar-fishāñ jo nikle hai muñh se har dam

    raushan hai 'mīr' ġham ne qalb-o-kabid jalā.e

    jo log aasman ne yan KHak kar uDae

    be-‘ibraton ne le kar KHak un ki ghar banae

    rahne ki koi jagah shayad na thi unhon ki

    jo yan se uTh gae hain we phir kabhu na aae

    qaf

    laDke barahmanon ke sandal bhari jabinen

    hindostan mein dekhe so un se dil lagae

    har ek sanam-kada kya kafir jagah hai hum ne

    qashqe bhi yan khinchae zunnar bhi bandhae

    pamal log kya kya aage hue hain tum se

    is par bhi tum jo aae yan tum ne sar uThae

    kya ghurte ho har dam Darte nahin hain kuchh hum

    jin aankhon par hain 'ashiq un aankhon ke dikhae

    aah-e-sharar-fishan jo nikle hai munh se har dam

    raushan hai 'mir' gham ne qalb-o-kabid jalae

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1900

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now