abr
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
uThī phir aaj vo pūrab se kaalī kaalī ghaTā
siyāh-posh huā phir pahāḌ sarban kā
nihāñ huā jo ruḳh-e-mehr zer-e-dāman-e-abr
havā-e-sard bhī aa.ī savār tausan-e-abr
garaj kā shor nahīñ hai ḳhamosh hai ye ghaTā
'ajīb mai-kada-e-be-ḳharosh hai ye ghaTā
chaman meñ hukm-e-nashāt-e-mudām laa.ī hai
qabā-e-gul meñ guhar Tāñkne ko aa.ī hai
jo phuul mehr kī garmī se so chale the uThe
zamīñ kī god meñ jo paḌ ke so rahe the uThe
havā ke zor se ubhrā baḌhā uḌā bādal
uThī vo aur ghaTā lo baras paḌā bādal
'ajīb ḳhema hai kohsār ke nihāloñ kā
yahīñ qiyām ho vaadī meñ phirne vāloñ kā
uThi phir aaj wo purab se kali kali ghaTa
siyah-posh hua phir pahaD sarban ka
nihan hua jo ruKH-e-mehr zer-e-daman-e-abr
hawa-e-sard bhi aai sawar tausan-e-abr
garaj ka shor nahin hai KHamosh hai ye ghaTa
'ajib mai-kada-e-be-KHarosh hai ye ghaTa
chaman mein hukm-e-nashat-e-mudam lai hai
qaba-e-gul mein guhar Tankne ko aai hai
jo phul mehr ki garmi se so chale the uThe
zamin ki god mein jo paD ke so rahe the uThe
hawa ke zor se ubhra baDha uDa baadal
uThi wo aur ghaTa lo baras paDa baadal
'ajib KHema hai kohsar ke nihaalon ka
yahin qiyam ho wadi mein phirne walon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.