Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajaib-KHana

Sarwat Zehra

ajaib-KHana

Sarwat Zehra

MORE BYSarwat Zehra

    mirā vajūd

    dekhte dekhte

    ek ajā.ib-ḳhāne meñ Dhal rahā hai

    ki mere lā-shu.ūr ne

    āsār-e-qadīma nādir ināyatoñ ko

    chhupā ke mujh se

    mujh meñ jam.a kar diyā hai

    yahāñ kahīñ kisī rack meñ

    mire hunūt-shuda harf aur lamhe

    paḌe hue haiñ

    jinheñ na-jāne kaun masāla lagā diyā gayā hai

    ki mire jism harārat se bhī vo

    gal nahīñ rahe haiñ

    in almāriyoñ se

    mirī TuuTī huī chūḌiyoñ ke saaz

    āvāz aa rahī hai

    ye dekho shelf meñ

    merī bachpan guḌiyā

    TuuTā huā jism so rahā hai

    kahīñ merī siñghār-mez ā.īna

    be-rañg ho kar chaTaḳh gayā hai

    magar ab bhī

    mere azāb-lamhoñ

    aks de rahā hai

    kahīñ kisī surme-dānī meñ

    shāyad kabhī maiñ ne apnī aañkh chhoḌ thī

    jo us meñ se mujhe ghūrtī hai

    aur merī zindagī

    mere zañg-ālūd zevaroñ meñ

    dab ke chīḳhtī hai

    aur pāyaloñ āvāz se Dar rahī hai

    ek TuuTī huī kañghī se

    mire baal uljhe hue haiñ

    aur kināre pe rakkhī huī

    surāhī se pyaas

    ris rahī hai

    kisī ghaḌiyāl TuuTī huī suuī

    ik azāb-lamhe meñ murta.ish hai

    aur qarīb

    mere jazboñ ke tālāb se

    baas uTh rahī hai

    aur tamāsh-bīn,

    jauq-dar-jauq mere ajā.ib-ḳhāne ko

    dekhne ko aa rahe haiñ

    in meñ se koī tamāsh-bīn

    is ajā.ib-ḳhāne

    saañs letī huī maut ko

    taz.hīk se dekh kar

    nazar-andāz kartā huā rahā hai

    aur koī ajā.ibāt shauqīn

    in tamām ashyā pe tahqīq kar ke

    apna-āp sābit karnā chāhtā hai

    magar un ko dhuul meñ paḌī huī

    tārīḳh uljhī huī Dor

    koī sirā nahīñ mil rahā hai

    aur meñ kināre pe khaḌī huī

    apne usī ek sire ke milne muntazir huuñ

    ki mirā vajūd dekhte dekhte

    ek ajā.ib-ḳhāne meñ Dhal chukā hai

    mera wajud

    dekhte hi dekhte

    ek ajaib-KHane mein Dhal raha hai

    ki mere la-shuur ne

    aasar-e-qadima ki nadir inayaton ko

    chhupa ke mujh se

    mujh hi mein jama kar diya hai

    yahan kahin kisi rack mein

    mere hunut-shuda harf aur lamhe

    paDe hue hain

    jinhen na-jaane kaun sa masala laga diya gaya hai

    ki mere jism ki hararat se bhi wo

    gal nahin rahe hain

    in almariyon se

    meri TuTi hui chuDiyon ke saz ki

    aawaz aa rahi hai

    ye dekho shelf mein

    meri bachpan ki guDiya ka

    TuTa hua jism so raha hai

    kahin meri singhaar-mez ka aaina

    be-rang ho kar chaTaKH gaya hai

    magar ab bhi

    mere azab-lamhon ka

    aks de raha hai

    kahin kisi surme-dani mein

    shayad kabhi main ne apni aankh chhoD di thi

    jo us mein se mujhe ghurti hai

    aur meri zindagi

    mere zang-alud zewaron mein

    dab ke chiKHti hai

    aur payalon ki aawaz se Dar rahi hai

    ek TuTi hui kanghi se

    mere baal uljhe hue hain

    aur kinare pe rakkhi hui

    surahi se pyas ki bu

    ris rahi hai

    kisi ghaDiyal ki TuTi hui sui

    ek azab-lamhe mein murtaish hai

    aur qarib hi

    mere jazbon ke talab se

    bas uTh rahi hai

    aur tamash-bin,

    jauq-dar-jauq mere ajaib-KHane ko

    dekhne ko aa rahe hain

    in mein se koi tamash-bin

    is ajaib-KHane ki

    sans leti hui maut ko

    tazhik se dekh kar

    nazar-andaz karta hua ja raha hai

    aur koi ajaibaat ka shauqin

    in tamam ashya pe tahqiq kar ke

    apna-ap sabit karna chahta hai

    magar un ko dhul mein paDi hui

    tariKH ki uljhi hui Dor ka

    koi sira nahin mil raha hai

    aur mein kinare pe khaDi hui

    apne usi ek sire ke milne ki muntazir hun

    ki mera wajud dekhte hi dekhte

    ek ajaib-KHane mein Dhal chuka hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sarwat Zehra

    Sarwat Zehra

    RECITATIONS

    Sarwat Zehra

    Sarwat Zehra,

    Sarwat Zehra

    ajaib-KHana Sarwat Zehra

    Source:

    Vaqt ki qiad se (Pg. 21)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now