Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne tamashe ka ticket

Shariq Kaifi

apne tamashe ka ticket

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    ye ḳhvāhish to

    hamāre shahr ke chiḌiyā-gharoñ ke sher bhī shāyad nahīñ karte

    ki sāthī sher un ko dekhne aa.eñ

    ticket le kar tamāshe tarah

    tamāshā ban ke ye jiine majbūrī

    kahīñ sharmindagī shakl meñ muñh par chhapī rahtī haiñ un ke

    magar insān?

    us bas nahīñ chaltā

    ki sar ke bal khaḌe ho kar tavajjoh khīñch le sab

    vahī insāñ

    jo ḳhud ko ashraf-o-afzal samajhtā hai

    agar mumkin ho to

    apne tamāshe ke ticket

    ḳhud apne hāthoñ dūsroñ ko bech saktā hai

    ye KHwahish to

    hamare shahr ke chiDiya-gharon ke sher bhi shayad nahin karte

    ki sathi sher un ko dekhne aaen

    ticket le kar tamashe ki tarah

    tamasha ban ke ye jine ki majburi

    kahin sharmindagi ki shakl mein munh par chhapi rahti hain un ke

    magar insan?

    us ka bas nahin chalta

    ki sar ke bal khaDe ho kar tawajjoh khinch le sab ki

    wahi insan

    jo KHud ko ashraf-o-afzal samajhta hai

    agar mumkin ho to

    apne tamashe ke ticket

    KHud apne hathon dusron ko bech sakta hai

    Source:

    Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 154)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now