Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badalte mausam

Khalilur Rahman Azmi

badalte mausam

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    vahī pyāre madhur alfāz mīThī ras-bharī bāteñ

    vahī raushan rupahle din vahī mahkī huī rāteñ

    vahī merā ye kahnā tum bahut ḳhūb-sūrat ho

    tumhāre lab pe ye fiqara ki tum merī qismat ho

    vahī merā purānā giit tum bin nahīñ saktā

    meñ un hoñToñ kar ab koī mai nahīñ saktā

    ye sab kuchh Thiik hai par is se ghabrā bhī jaatā hai

    agar mausam na badle aadmī uktā bhī jaatā hai

    kabhī yūñhī sahī maiñ aur ko apnā banā letā

    tumhāre dil ko Thukrātā tumhārī bad-duā letā

    kabhī maiñ bhī ye suntā tum baḌe be-muravvat ho

    kabhī meñ bhī ye kahtā tum to sar-tā-pā himāqat ho

    ab aao ye bhī kar dekheñ to jiine mazā aa.e

    koī khiḌkī khule is ghar aur taaza havā aa.e

    wahi pyare madhur alfaz miThi ras-bhari baaten

    wahi raushan rupahle din wahi mahki hui raaten

    wahi mera ye kahna tum bahut hi KHub-surat ho

    tumhaare lab pe ye fiqara ki tum hi meri qismat ho

    wahi mera purana git tum bin ji nahin sakta

    mein un honTon ki pi kar ab koi mai pi nahin sakta

    ye sab kuchh Thik hai par is se ji ghabra bhi jata hai

    agar mausam na badle aadmi ukta bhi jata hai

    kabhi yunhi sahi main aur ko apna bana leta

    tumhaare dil ko Thukraata tumhaari bad-dua leta

    kabhi main bhi ye sunta tum baDe hi be-murawwat ho

    kabhi mein bhi ye kahta tum to sar-ta-pa himaqat ho

    ab aao ye bhi kar dekhen to jine ka maza aae

    koi khiDki khule is ghar ki aur taza hawa aae

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 154)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now