Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chamche ki dua

Asrar jamayee

chamche ki dua

Asrar jamayee

MORE BYAsrar jamayee

    lab pe aatī hai duā ban ke ye chāhat merī

    zindagī qaab ke chamchoñ ho sūrat merī

    kaalī daulat se mire ghar meñ ujālā kar de

    aur ġharīboñ ġharībī ko do-bālā kar de

    chaTpaTī baat mirī garm masāla ho jaa.e

    ḳhvāh jantā mire dam se divālā ho jaa.e

    zindagī ho mirī netāoñ sūrat yā-rab

    ho faqat apnī ġharaz se mohabbat yā-rab

    rahūñ āzād na ho qaid-e-maqāmī mālik

    dil badalnā ho mirā shaġhl-e-davāmī mālik

    chāplūsī ke hunar meñ mujhe yaktā kar de

    jo bhī ho mere muqābil use paspā kar de

    itnī tāsīr ḳhushāmad meñ atā kar maulā

    ki hamesha rahe qabze meñ minister maulā

    chaḌhte sūraj ho qismat meñ pujārī banñā

    mujh ko manzūr nahīñ phir se bhikārī banñā

    roġhan-e-qāz mālish salīqa aa jaa.e

    daam meñ fāñste rahne tarīqa aa jaa.e

    mire fitnoñ se har ik ghar ko ukhāḌā kar de

    ġhair to ġhair haiñ apnoñ kabāḌā kar de

    lekin allāh piTā.ī se bachānā mujh ko

    juutā chappal na paḌe dahr meñ khānā mujh ko

    lab pe aati hai dua ban ke ye chahat meri

    zindagi qab ke chamchon ki ho surat meri

    kali daulat se mere ghar mein ujala kar de

    aur gharibon ki gharibi ko do-baala kar de

    chaTpaTi baat meri garm masala ho jae

    KHwah janta ka mere dam se diwala ho jae

    zindagi ho meri netaon ki surat ya-rab

    ho faqat apni gharaz se hi mohabbat ya-rab

    rahun aazad na ho qaid-e-maqami malik

    dil badalna ho mera shaghl-e-dawami malik

    chaplusi ke hunar mein mujhe yakta kar de

    jo bhi ho mere muqabil use paspa kar de

    itni tasir KHushamad mein ata kar maula

    ki hamesha rahe qabze mein minister maula

    chaDhte suraj ka ho qismat mein pujari banna

    mujh ko manzur nahin phir se bhikari banna

    roghan-e-qaz ki malish ka saliqa aa jae

    dam mein fanste rahne ka tariqa aa jae

    mere fitnon se har ek ghar ko ukhaDa kar de

    ghair to ghair hain apnon ka kabaDa kar de

    lekin allah piTai se bachana mujh ko

    juta chappal na paDe dahr mein khana mujh ko

    Source:

    shair-e-aazam (Pg. 73)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now