Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

circus mein naukri ka aaKHiri din

Shariq Kaifi

circus mein naukri ka aaKHiri din

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    le chabā ye sar

    jo ab jabḌoñ meñ hai tere

    agar vāqa.ī meñ sher hai to

    sher ban kar aaj dikhlā de

    mujhe joker samajhtā thā

    are maiñ to faqat is peT ḳhātir

    hañsāne ke liye sab ko

    tere jabḌoñ meñ sar dene se pahle bhaag jaatā thā

    mujhe is khel tanḳhvāh miltī thī

    yahī kirdār circus meñ mire hisse meñ aayā thā

    magar maiñ aaj tujh ko dekh lūñgā

    dikhā dūñgā zamāne ko ki buzdil maiñ nahīñ buzdil hai

    le chabā

    ab jokaroñ

    muñh ko phāḌe kyuuñ khaḌā hai

    le chaba ye sar

    jo ab jabDon mein hai tere

    agar tu waqai mein sher hai to

    sher ban kar aaj dikhla de

    mujhe joker samajhta tha

    are main to faqat is peT ki KHatir

    hansane ke liye sab ko

    tere jabDon mein sar dene se pahle bhag jata tha

    mujhe is khel ki tanKHwah milti thi

    yahi kirdar circus mein mere hisse mein aaya tha

    magar main aaj tujh ko dekh lunga

    dikha dunga zamane ko ki buzdil main nahin buzdil tu hai

    le chaba

    ab jokaron sa

    munh ko phaDe kyun khaDa hai

    RECITATIONS

    Shariq Kaifi

    Shariq Kaifi,

    Shariq Kaifi

    circus mein naukri ka aaKHiri din Shariq Kaifi

    Source:

    Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 129)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now