dushwari

Javed Akhtar

dushwari

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

  maiñ bhuul jā.ūñ tumheñ

  ab yahī munāsib hai

  magar bhulānā bhī chāhūñ to kis tarah bhūlūñ

  ki tum to phir bhī haqīqat vo

  koī ḳhvāb nahīñ

  yahāñ to dil ye aalam hai kyā kahūñ

  kam-baḳht!

  bhulā na paayā vo silsila

  jo thā nahīñ

  vo ik ḳhayāl

  jo āvāz tak gayā nahīñ

  vo ek baat

  jo maiñ kah nahīñ sakā tum se

  vo ek rabt

  jo ham meñ kabhī rahā nahīñ

  mujhe hai yaad vo sab

  jo kabhī huā nahīñ

  main bhul jaun tumhein

  ab yahi munasib hai

  magar bhulana bhi chahun to kis tarah bhulun

  ki tum to phir bhi haqiqat wo

  koi KHwab nahin

  yahan to dil ka ye aalam hai kya kahun

  kam-baKHt!

  bhula na paya wo silsila

  jo tha hi nahin

  wo ek KHayal

  jo aawaz tak gaya hi nahin

  wo ek baat

  jo main kah nahin saka tum se

  wo ek rabt

  jo hum mein kabhi raha hi nahin

  mujhe hai yaad wo sab

  jo kabhi hua hi nahin

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Jagjit Singh

  Jagjit Singh

  RECITATIONS

  Fahad Husain

  Fahad Husain

  Fahad Husain

  dushwari Fahad Husain

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY