ghar-damad ka pachhtawa
ghar-dāmādī kar ke maiñ ne ḳhud ko liyā janjāl meñ Daal
maiñ samjhā thā aish karūñgā lekin jiinā huā muhāl
naukar huuñ dāmād nahīñ huuñ kartā huuñ ghar ke sab kaam
thakan se haal ḳharāb hai merā piilā ho gayā maañ kā laal
saas mujhe jab sab ke sāmne muā nikhaTTū kahtī hai
tab merā dil kahtā hai jā us ke gale meñ phandā Daal
jab bhī us ke sāmne jā.ūñ naak aur bhañveñ chaḌhātī hai
mujh se bas itnā kahtī hai jā aur jā kar daal ubaal
zarā sī bhī ġhalatī kar duuñ to mauqa use mil jaatā hai
maar ke chāñTā kar detī hai gaal mirā vo laal gulāl
us kī bātoñ se jaltā hai dil aur mujh se kahtā hai
is dafa use khānā de to is meñ thoḌā kuchlā Daal
Daal to duuñ maiñ kuchlā lekin police mujhe nahīñ chhoḌegī
judge bhī bas itnā hī kahegā pakḌā kyoñ gayā mere laal
ghar-damadi kar ke main ne KHud ko liya janjal mein Dal
main samjha tha aish karunga lekin jina hua muhaal
naukar hun damad nahin hun karta hun ghar ke sab kaam
thakan se haal KHarab hai mera pila ho gaya man ka lal
sas mujhe jab sab ke samne mua nikhaTTu kahti hai
tab mera dil kahta hai ja us ke gale mein phanda Dal
jab bhi us ke samne jaun nak aur bhanwen chaDhati hai
mujh se bas itna kahti hai ja aur ja kar dal ubaal
zara si bhi ghalati kar dun to mauqa use mil jata hai
mar ke chanTa kar deti hai gal mera wo lal gulal
us ki baaton se jalta hai dil aur mujh se kahta hai
is dafa use khana de to is mein thoDa kuchla Dal
Dal to dun main kuchla lekin police mujhe nahin chhoDegi
judge bhi bas itna hi kahega pakDa kyon gaya mere lal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.