Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hayule

MORE BYArif Abdul Mateen

    samundaroñ ke muhīb tūfāñ mere azā.em ke sāhiloñ se shikast khā kar palaT chuke haiñ

    maiñ kohsāroñ hastiyoñ se bhī āsmāñ vaqār ban kar ulajh chukā huuñ

    maiñ jañgaloñ havāoñ zor toḌ detā rahā huuñ apne nafas shorīda satvatoñ se

    mire tafakkur garm-raftāriyoñ se larzāñ rahe haiñ sahrāoñ ke bagūle

    ye zikr hai us tavīl maazī maiñ akelā thā is bharī kā.enāt meñ jab

    faqat mirī jāñ-gudāz tanhā.ī saaya ban kar thī saath mere

    maiñ un dinoñ sochtā thā merā vajūd ā.īna-dār tāb-o-tavāñ hai jis ko

    zavāl-e-āmādgī se nisbat nahīñ hai koī

    aur aaj jab ki ye mere bachche

    jinheñ zamāne aañkh ne mere dast-o-bāzū ruup samjhā

    mirī tavānā.iyoñ ke markaz aks jaanā

    mire rag-o-pai meñ ek ehsās-e-ḳhauf har-dam ubhārte haiñ

    to sochtā huuñ

    maiñ kitnā kamzor ho gayā huuñ

    havā ik nā-tavāñ jhoñkā bhī un ke pahlū se jab guzartā hai

    laakh andeshe jaag uThte haiñ mere dil meñ

    ajiib tashvīsh gher letī hai jism-o-jāñ tamām tābinda vus.atoñ ko

    maiñ apne bachchoñ ko apnī quvvat kahūñ ki be-himmatī maz.har

    samundaron ke muhib tufan mere azaem ke sahilon se shikast kha kar palaT chuke hain

    main kohsaron ki hastiyon se bhi aasman ka waqar ban kar ulajh chuka hun

    main jangalon ki hawaon ka zor toD deta raha hun apne nafas ki shorida satwaton se

    mere tafakkur ki garm-raftariyon se larzan rahe hain sahraon ke bagule

    ye zikr hai us tawil mazi ka main akela tha is bhari kaenat mein jab

    faqat meri jaan-gudaz tanhai saya ban kar thi sath mere

    main un dinon sochta tha mera wajud aaina-dar tab-o-tawan hai jis ko

    zawal-e-amadgi se nisbat nahin hai koi

    aur aaj jab ki ye mere bachche

    jinhen zamane ki aankh ne mere dast-o-bazu ka rup samjha

    meri tawanaiyon ke markaz ka aks jaana

    mere rag-o-pai mein ek ehsas-e-KHauf har-dam ubhaarte hain

    to sochta hun

    main kitna kamzor ho gaya hun

    hawa ka ek na-tawan sa jhonka bhi un ke pahlu se jab guzarta hai

    lakh andeshe jag uThte hain mere dil mein

    ajib tashwish gher leti hai jism-o-jaan ki tamam tabinda wusaton ko

    main apne bachchon ko apni quwwat kahun ki be-himmati ka mazhar

    Source:

    auraq salnama magazines (Pg. e-277 p-265)

    • Author: Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
      • Edition: 1967
      • Publisher: Daftar Mahnama Auraq Lahore
      • Year of Publication: 1967
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now