Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek bewafa ke nam

Owais Ahmad Dauran

ek bewafa ke nam

Owais Ahmad Dauran

MORE BYOwais Ahmad Dauran

    Interesting Fact

    Calcutta, 8th August 1958, Published: Shama, Delhi

    tere bhī dil meñ huuk uTThe ḳhudā kare

    bhī hamārī yaad meñ taḌpe ḳhudā kare

    majrūh ho balā se tire husn ġhurūr

    par tujh ko chashm-e-shauq na dekhe ḳhudā kare

    kho jaa.eñ tere husn ra.anā.iyāñ tamām

    terī adā kisī ko na bhaa.e ḳhudā kare

    merī tarah kashti-e-dil ho tirī tabāh

    tūfān itne zor uTThe ḳhudā kare

    rāhoñ ke pech-o-ḳham meñ rahe tā-hayāt gum

    manzil tire qarīb na aa.e ḳhudā kare

    zulmat ho ho aur tirī rahguzār ho

    duniyā meñ terī sub.h na phūTe ḳhudā kare

    tujh par nashāt-o-aish rāteñ harām hoñ

    mar jaa.eñ tere saaz ke naġhme ḳhudā kare

    aa.eñ na tere baaġh meñ jhoñke nasīm ke

    terā gul-e-shabāb na mahke ḳhudā kare

    har lamha terī ruuh ko ik be-kalī ho

    aur be-kalī meñ niiñd na aa.e ḳhudā kare

    ho tere dil meñ merī ḳhalish merī aarzū

    mere baġhair chain na aa.e ḳhudā kare

    rahī hai bazm-e-tarab meñ to ḳhair

    par terā vahāñ bhī na bahle ḳhudā kare

    al-muḳhtasar hoñ jitne sitam tujh pe TuuT jaa.eñ

    lekin ye rabt-e-zīst na TuuTe ḳhudā kare

    jo kuchh maiñ kah gayā huuñ junūñ meñ vo sab ġhalat

    tujh par koī bhī aañch na aa.e ḳhudā kare

    hai matā-e-qalb-o-nazar bevafā sahī

    hai raushnī-e-dāġh-e-jigar bevafā sahī

    tere bhi dil mein huk si uTThe KHuda kare

    tu bhi hamari yaad mein taDpe KHuda kare

    majruh ho bala se tere husn ka ghurur

    par tujh ko chashm-e-shauq na dekhe KHuda kare

    kho jaen tere husn ki ranaiyan tamam

    teri ada kisi ko na bhae KHuda kare

    meri hi tarah kashti-e-dil ho teri tabah

    tufan itne zor ka uTThe KHuda kare

    rahon ke pech-o-KHam mein rahe ta-hayat gum

    manzil tere qarib na aae KHuda kare

    zulmat ho tu ho aur teri rahguzar ho

    duniya mein teri subh na phuTe KHuda kare

    tujh par nashat-o-aish ki raaten haram hon

    mar jaen tere saz ke naghme KHuda kare

    aaen na tere bagh mein jhonke nasim ke

    tera gul-e-shabab na mahke KHuda kare

    har lamha teri ruh ko ek be-kali si ho

    aur be-kali mein nind na aae KHuda kare

    ho tere dil mein meri KHalish meri aarzu

    mere baghair chain na aae KHuda kare

    tu ja rahi hai bazm-e-tarab mein to KHair ja

    par tera ji wahan bhi na bahle KHuda kare

    al-muKHtasar hon jitne sitam tujh pe TuT jaen

    lekin ye rabt-e-zist na TuTe KHuda kare

    jo kuchh main kah gaya hun junun mein wo sab ghalat

    tujh par koi bhi aanch na aae KHuda kare

    tu hai mata-e-qalb-o-nazar bewafa sahi

    hai raushni-e-dagh-e-jigar bewafa sahi

    Source:

    Lamhon Ki Aawaz (Pg. 146)

    • Author: Owais Ahmad Dauran
      • Edition: 1974
      • Publisher: label litho press Ramna Road Patna-4
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now