jurm o saza
mujh ko ab bhī yaad hai ik din
ghar vāloñ kī aañkh bachā kar
maiñ ne ik suune kamre meñ
ik laḌkī ko chuum liyā thā
ab vo laḌkī maañ hai, us ke
kaale piile bachche haiñ
bachche merī god meñ aa kar
mujh ko abbā kahte haiñ
mujh ko ab bhi yaad hai ek din
ghar walon ki aankh bacha kar
main ne ek sune kamre mein
ek laDki ko chum liya tha
ab wo laDki man hai, us ke
kale pile bachche hain
bachche meri god mein aa kar
mujh ko abba kahte hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 154)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.