Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani ek raat ki

Danish Farazi

kahani ek raat ki

Danish Farazi

MORE BYDanish Farazi

    sun rahā huuñ der se dhīmī dastak sadā

    kaun hogā is añdherī raat meñ

    hogā koī

    ajnabī raahī dastak to nahīñ

    jo kisī pur-haul saa.e ke lapakte qahqahe guuñj se

    bach ke aa niklā hai mere ḳhāna-e-tārīk tak

    vāqa.ī vahshat-zada hogā agar raahī koī

    is qadar mohtāt āvāz kyuuñ

    is qadar dhīmī chaap

    niim shāḳhoñ ke pīchhe uf ye kauñde lapak

    aur uḌte abr-pāroñ garaj

    tez-rau āñdhī ke qadmoñ ye bhārī āhaTeñ

    tez bārish ke haiñ āsār-e-muhīb

    bhiig jā.egā koī

    band darvāze ko ab to khol denā chāhiye

    jaane phir ye kaun apnī saḳht bāñhoñ meñ

    jakaḌtā hai mujhe

    jaane kyuuñ ruk ruk ga.e mere azā.em ke qadam

    kaun hai is hajla-e-tārīk meñ mere sivā

    jāntā huuñ mashriqī ruḳh par tipā.ī ke qarīb

    shaam ko jaltā rahā āhista bosīda charāġh

    ab vahāñ tak sakūñgā kis tarah

    sā.ebānoñ se pighaltī be-karāñ zulmat rau

    baḌh ga.ī hai toḌ kar saare hudūd

    chīḳh kar kis ko pukārūñ kis ko maiñ āvāz duuñ

    niim larzīda shāḳhoñ meñ garajtā hai ufuq

    shor baḌhtā rahā hai kyā karūñ

    aur vo dastak dhīmī sadā

    ġhāliban tā-hashr ubhregī nahīñ

    kyā bhayānak raat hai

    sun raha hun der se dhimi si dastak ki sada

    kaun hoga is andheri raat mein

    hoga koi

    ajnabi rahi ki dastak to nahin

    jo kisi pur-haul sae ke lapakte qahqahe ki gunj se

    bach ke aa nikla hai mere KHana-e-tarik tak

    waqai wahshat-zada hoga agar rahi koi

    is qadar mohtat si aawaz kyun

    is qadar dhimi si chap

    nim ki shaKHon ke pichhe uf ye kaunde ki lapak

    aur uDte abr-paron ki garaj

    tez-rau aandhi ke qadmon ki ye bhaari aahaTen

    tez barish ke hain aasar-e-muhib

    bhig jaega koi

    band darwaze ko ab to khol dena chahiye

    jaane phir ye kaun apni saKHt banhon mein

    jakaDta hai mujhe

    jaane kyun ruk ruk gae mere azaem ke qadam

    kaun hai is hajla-e-tarik mein mere siwa

    jaanta hun mashriqi ruKH par tipai ke qarib

    sham ko jalta raha aahista bosida charagh

    ab wahan tak ja sakunga kis tarah

    saebanon se pighalti be-karan zulmat ki rau

    baDh gai hai toD kar sare hudud

    chiKH kar kis ko pukarun kis ko main aawaz dun

    nim ki larzida shaKHon mein garajta hai ufuq

    shor baDhta ja raha hai kya karun

    aur wo dastak ki dhimi si sada

    ghaaliban ta-hashr ubhregi nahin

    kya bhayanak raat hai

    Source:

    sheerazah (Pg. 45)

    • Author: makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
      • Edition: 1973
      • Publisher: P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now