Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-kushi

Zeeshan Sahil

KHud-kushi

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    ek aise sarvey ke mutābiq

    jo mere dost

    apne dil ko mausūl hone vaalī

    ġhair-zarūrī ḳhabroñ ko jam.a kar ke

    murattab kar rahe haiñ

    shahr meñ koī ḳhud-kushī nahīñ kar rahā

    mohabbat meñ nākāmī par finail piine vaalī laḌkiyāñ

    aur naukrī na milne par

    baḌe bhaa.ī ke licence-yāfta pistol se

    ḳhud-kushī karne vaale laḌke

    bahut din se nazar nahīñ aa.e

    dupaTTe phandā banā kar mar jaane vaalī

    be-aulād dulhaneñ

    aur tavīl bīmārī se tañg aa kar

    ḳhud ko jalā kar halāk karne vaale

    udheḌ-umar marīz

    nāpaid ho ga.e haiñ

    shahr meñ ab jis ko bhī ḳhud-kushī karnī ho

    use bahut ziyāda tag-o-dau nahīñ karnī paḌtī

    vo bāhar nikaltā hai

    aur thoḌī der ke liye

    nishāna-bāzoñ vaalī yellow cab

    intizār kartā hai

    jab us saḌak ke donoñ taraf

    ḳhuub firing ho rahī ho

    vo bilā-irāda balcony meñ ke khaḌā ho jaatā hai

    jab log ḳhud-kushī karnā chāhte haiñ

    yaqīn kījiye

    kisī jinsī imtiyāz ke baġhair

    rañg, nasl aur zabān ke farq ko ḳhātir meñ na laate hue

    goliyāñ har jagah

    unheñ DhūñDh nikāltī haiñ

    ek aise sarwey ke mutabiq

    jo mere dost

    apne dil ko mausul hone wali

    ghair-zaruri KHabron ko jama kar ke

    murattab kar rahe hain

    shahr mein koi KHud-kushi nahin kar raha

    mohabbat mein nakaami par finail pine wali laDkiyan

    aur naukri na milne par

    baDe bhai ke licence-yafta pistol se

    KHud-kushi karne wale laDke

    bahut din se nazar nahin aae

    dupaTTe ka phanda bana kar mar jaane wali

    be-aulad dulhanen

    aur tawil bimari se tang aa kar

    KHud ko jala kar halak karne wale

    udheD-umar mariz

    napaid ho gae hain

    shahr mein ab jis ko bhi KHud-kushi karni ho

    use bahut ziyaada tag-o-dau nahin karni paDti

    wo bahar nikalta hai

    aur thoDi der ke liye

    nishana-bazon wali yellow cab ka

    intizar karta hai

    ya jab us ki saDak ke donon taraf

    KHub firing ho rahi ho

    wo bila-irada balcony mein ja ke khaDa ho jata hai

    jab log KHud-kushi karna chahte hain

    yaqin kijiye

    kisi jinsi imtiyaz ke baghair

    rang, nasl aur zaban ke farq ko KHatir mein na late hue

    goliyan har jagah

    unhen DhunDh nikalti hain

    Source :
    • Book : saarii nazmen (Pg. 466)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now