KHushamad
Interesting Fact
(Siyasat-e-Mashriq-o-Maghrib) (Zarb-e-Kalim)
maiñ kār-e-jahāñ se nahīñ āgāh valekin
arbāb-e-nazar se nahīñ poshīda koī raaz
kar tū bhī hukūmat ke vazīroñ kī ḳhushāmad
dastūr nayā aur na.e daur kā āġhāz
mā'lūm nahīñ hai ye ḳhushāmad ki haqīqat
kah de koī ullū ko agar raat kā shahbāz
main kar-e-jahan se nahin aagah walekin
arbab-e-nazar se nahin poshida koi raaz
kar tu bhi hukumat ke waziron ki KHushamad
dastur naya aur nae daur ka aaghaz
ma'lum nahin hai ye KHushamad ki haqiqat
kah de koi ullu ko agar raat ka shahbaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.