mahbuba
merī mahbūba
un mahbūbāoñ meñ se nahīñ
jo kisī zālim railway engine kī tarah
kamzor puloñ par se
puurī raftār ke saath guzartī haiñ
yā saḌak banāne vaale roller kī tarah
har chiiz apnī mohabbat ke tārkol meñ
pighlātī aur jamātī chalī jaatī haiñ
aur na hī merī mahbūba
un mahbūbāoñ meñ se hai
jo apne āshiqoñ kī yaad meñ
kisī jazīre par koī light-house
yā safede ke daraḳhtoñ meñ ghirā
koī charch ta.amīr karvātī haiñ
merī mahbūba to hai
granite kā ek pahāḌ
jis ke dāman meñ phuul nahīñ rakhe jā sakte
aur jis ke sāmne koī aañsū nahīñ bahā saktā
merī mahbūba to hai
tāñbe kī ek kaan
jab vo sotī hai
to is ke ghar kī dīvāreñ
bāhar kā farsh
aur ghar ke sāmne lagā huā favvāra
surḳh ho jaatā hai
meri mahbuba
un mahbubaon mein se nahin
jo kisi zalim railway engine ki tarah
kamzor pulon par se
puri raftar ke sath guzarti hain
ya saDak banane wale roller ki tarah
har chiz apni mohabbat ke tarkol mein
pighlati aur jamati chali jati hain
aur na hi meri mahbuba
un mahbubaon mein se hai
jo apne aashiqon ki yaad mein
kisi jazire par koi light-house
ya safede ke daraKHton mein ghira
koi charch tamir karwati hain
meri mahbuba to hai
granite ka ek pahaD
jis ke daman mein phul nahin rakhe ja sakte
aur jis ke samne koi aansu nahin baha sakta
meri mahbuba to hai
tanbe ki ek kan
jab wo soti hai
to is ke ghar ki diwaren
bahar ka farsh
aur ghar ke samne laga hua fawwara
surKH ho jata hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.