nauha
Interesting Fact
on legendary filmmaker Guru Dutt's death
rahne ko sadā dahr meñ aatā nahīñ koī
tum jaise ga.e aise bhī jaatā nahīñ koī
Dartā huuñ kahīñ ḳhushk na ho jaa.e samundar
raakh apnī kabhī aap bahātā nahīñ koī
ik baar to ḳhud maut bhī ghabrā ga.ī hogī
yuuñ maut ko siine se lagātā nahīñ koī
maanā ki ujāloñ ne tumheñ daaġh diye the
be-rāt Dhale sham.a bujhātā nahīñ koī
saaqī se gilā thā tumheñ mai-ḳhāne se shikva
ab zahr se bhī pyaas bujhātā nahīñ koī
har sub.h hilā detā thā zanjīr zamāna
kyuuñ aaj divāne ko jagātā nahīñ koī
arthī to uThā lete haiñ sab ashk bahā ke
nāz-e-dil-e-betāb uThātā nahīñ koī
rahne ko sada dahr mein aata nahin koi
tum jaise gae aise bhi jata nahin koi
Darta hun kahin KHushk na ho jae samundar
rakh apni kabhi aap bahata nahin koi
ek bar to KHud maut bhi ghabra gai hogi
yun maut ko sine se lagata nahin koi
mana ki ujalon ne tumhein dagh diye the
be-raat Dhale shama bujhata nahin koi
saqi se gila tha tumhein mai-KHane se shikwa
ab zahr se bhi pyas bujhata nahin koi
har subh hila deta tha zanjir zamana
kyun aaj diwane ko jagata nahin koi
arthi to uTha lete hain sab ashk baha ke
naz-e-dil-e-betab uThata nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.