Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYZeeshan Sahil

    shā.erī

    ek mo.ajaza hai

    jo zaḳhmoñ ko

    phūloñ meñ tabdīl kar detī hai

    shāyad maiñ ne ġhalat kahā

    kyūñki ye phuul

    koī vāzeh shakl iḳhtiyār nahīñ kar paate

    in koī rañg nahīñ hotā

    in se koī ḳhushbū nahīñ nikaltī

    in ko nazmoñ kitāb meñ nahīñ rakkhā saktā

    mahbūba ko nahīñ diyā saktā

    dostoñ ko nahīñ bhejā saktā

    town-hall meñ in numā.ish nahīñ saktī

    koī bank har roz

    in qīmat-e-ḳharīd qīmat-e-faroḳht jaarī nahīñ kartā

    har qism ke jazbe se aarī ye phuul

    insānī tārīḳh meñ koī numāyāñ maqām

    hāsil nahīñ kar pā.eñge

    koī inheñ ḳhvāboñ meñ nahīñ dekhegā

    ye kisī saḌak ke kināre nahīñ kheleñge

    inheñ koī kashtī meñ bhar ke nahīñ le jā.egā

    baġhair kisī mausam ke phūTne vaale ye phuul

    shā.erī mo.ajaza haiñ

    aag miTTī havā aur paanī shāyad inheñ zarūrat nahīñ paḌtī

    ye insān āvāz ke saath nashv-o-numā paate haiñ

    insān ḳhāmoshī meñ hamesha zinda rahte haiñ

    insānī lams se jilā paane vaale ye shāhkār

    insān tarah fanā nahīñ kiye sakte

    hathiyāroñ madad se muta.assir nahīñ kiye sakte

    shā.erī ek mo.ajaza hai

    jo zaḳhmoñ ko phūloñ meñ

    kisī bhī chiiz ko kisī chiiz meñ badal saktā hai

    zinda rakh saktā hai

    shaeri

    ek moajaza hai

    jo zaKHmon ko

    phulon mein tabdil kar deti hai

    shayad main ne ghalat kaha

    kyunki ye phul

    koi wazeh shakl iKHtiyar nahin kar pate

    in ka koi rang nahin hota

    in se koi KHushbu nahin nikalti

    in ko nazmon ki kitab mein nahin rakkha ja sakta

    mahbuba ko nahin diya ja sakta

    doston ko nahin bheja ja sakta

    town-hall mein in ki numaish nahin ki ja sakti

    koi bank har roz

    in ki qimat-e-KHarid ya qimat-e-faroKHt jari nahin karta

    har qism ke jazbe se aari ye phul

    insani tariKH mein koi numayan maqam

    hasil nahin kar paenge

    koi inhen KHwabon mein nahin dekhega

    ye kisi saDak ke kinare nahin khelenge

    inhen koi kashti mein bhar ke nahin le jaega

    baghair kisi mausam ke phuTne wale ye phul

    shaeri ka moajaza hain

    aag miTTi hawa aur pani ki shayad inhen zarurat hi nahin paDti

    ye insan ki aawaz ke sath nashw-o-numa pate hain

    insan ki KHamoshi mein hamesha zinda rahte hain

    insani lams se jila pane wale ye shahkar

    insan ki tarah fana nahin kiye ja sakte

    hathiyaron ki madad se mutassir nahin kiye ja sakte

    shaeri ek moajaza hai

    jo zaKHmon ko phulon mein

    ya kisi bhi chiz ko kisi chiz mein badal sakta hai

    zinda rakh sakta hai

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 690)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now