Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm

MORE BYZeeshan Sahil

    nazm ek diivaar hai

    jis ke piichhe se

    ham nikalte hai.n

    apne dushman ko maarne

    aur use mu.aaf kar ke

    vaapas aa jaate hai.n

    nazm

    ek phuul hai

    jo khiltaa hai

    sirf hamaare dosto.n

    aur mahbuubaa.o.n ke liye

    yaa hamaare pyaaro.n kii qabr par

    aur hamesha khulaa hii rahtaa hai

    nazm

    ek tamGa hai

    jo diyaa jaataa hai bahaaduro.n ko

    ja.ng se vaapas na aane par

    yaa phir aashiqo.n ko

    ek duusre se

    hamesha ke liye judaa hone par

    nazm ek diivaar hai

    jis ke piichhe se

    ham nikalte hai.n

    apne dushman ko maarne

    aur use mu.aaf kar ke

    vaapas aa jaate hai.n

    nazm

    ek phuul hai

    jo khiltaa hai

    sirf hamaare dosto.n

    aur mahbuubaa.o.n ke liye

    yaa hamaare pyaaro.n kii qabr par

    aur hamesha khulaa hii rahtaa hai

    nazm

    ek tamGa hai

    jo diyaa jaataa hai bahaaduro.n ko

    ja.ng se vaapas na aane par

    yaa phir aashiqo.n ko

    ek duusre se

    hamesha ke liye judaa hone par

    Source:

    saarii nazmen (Pg. 153)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now