sayyah
use safar naame
aur sayyāhoñ kī zindagī kī kahāniyāñ bahut pasand thiiñ
us ne muḳhtalif mulkoñ
aur vahāñ ke logoñ ke baare meñ bahut kuchh ma.alūm kyā thā
vo ka.ī zabāneñ
aur safar karne ke tamām tarīqe jāntā thā
aur vo ye bhī jāntā thā
ki jab koī shaḳhs kahīñ na jā sake
to use kyā karnā chāhiye
vo ḳhvāb dekhtā thā
aur har raat ḳhud ko kisī na.ī sar-zamīn pe paatā
vo ḳhvāb dekhtā thā
jo inheñ chīzoñ ke baare meñ hote
log us ke ḳhvāb dilchaspī se sunte the
phir ek raat us ne dekhā
ki vo rāsta bhuul gayā hai
aur us ne ḳhud ko kabhī garm ret
aur kabhī duur tak phailī barf meñ dhañsā huā paayā
aglī sub.h us ne kisī se kuchh nahīñ kahā
aur un riyāsatoñ kī taraf nikal gayā
jin par kahīñ na jaane vaale log chale hī jaate haiñ
na.e yā purāne naqshoñ meñ
aise bahut se rāste dikhā.e jaate haiñ
jo kahīñ nahīñ jaate
use safar name
aur sayyahon ki zindagi ki kahaniyan bahut pasand thin
us ne muKHtalif mulkon
aur wahan ke logon ke bare mein bahut kuchh malum kya tha
wo kai zabanen
aur safar karne ke tamam tariqe jaanta tha
aur wo ye bhi jaanta tha
ki jab koi shaKHs kahin na ja sake
to use kya karna chahiye
wo KHwab dekhta tha
aur har raat KHud ko kisi nai sar-zamin pe pata
wo KHwab dekhta tha
jo inhen chizon ke bare mein hote
log us ke KHwab dilchaspi se sunte the
phir ek raat us ne dekha
ki wo rasta bhul gaya hai
aur us ne KHud ko kabhi garm ret
aur kabhi dur tak phaili barf mein dhansa hua paya
agli subh us ne kisi se kuchh nahin kaha
aur un riyasaton ki taraf nikal gaya
jin par kahin na jaane wale log chale hi jate hain
nae ya purane naqshon mein
aise bahut se raste dikhae jate hain
jo kahin nahin jate
- Book : saarii nazmen (Pg. 32)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.