Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-hijran

Mohammad Izhar ul Haq

shab-e-hijran

Mohammad Izhar ul Haq

MORE BYMohammad Izhar ul Haq

    havā be-mehr thī us raat ThanDī aur kaTīlī

    saañs lenā sar se ūñchī lahr se Takkar lagānā thā

    sadā koī nahīñ thī

    samt ta.ayyun mushkil thī

    nashebī bastiyoñ meñ rāste ik dūsre meñ ḳhatm hote the

    tujhe kyā alam hai vo raat sar-tā-pā shab-e-hijrāñ hamāre haq meñ kaisī thī

    lakīreñ haath nā-mehrbāñ

    māthā ma.īshat tarah tañg aur ghar barkat se chehra nuur se aarī

    gunāhoñ kyā maqdūr thā achchhā amal bhī ho nahīñ paayā

    kisī buḌhiyā kuTiyā meñ diyā jhāḌū

    na ro.e bā-vazū ho kar

    na kuchh tartīl na tahlīl

    hoñToñ se duā phūTtī lekin hamārī tiira rozī raat ke har brij par

    bedār aur choukas thī

    gaahe gaahe ik lalkār aatī thī azal lauh se

    aur ham manoñ miTTī ke nīche sahm jaate the

    havā be-mehr thī us raat ThanDī kaTīlī

    saañs lenā sar se ūñchī lahr se Takkar lagānā thā

    hawa be-mehr thi us raat ThanDi aur kaTili

    sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha

    sada koi nahin thi

    samt ki tayyun mushkil thi

    nashebi bastiyon mein raste ek dusre mein KHatm hote the

    tujhe kya alam hai wo raat sar-ta-pa shab-e-hijran hamare haq mein kaisi thi

    lakiren hath ki na-mehrban

    matha maishat ki tarah tang aur ghar barkat se chehra nur se aari

    gunahon ka kya maqdur tha achchha amal bhi ho nahin paya

    kisi buDhiya ki kuTiya mein diya jhaDu

    na roe ba-wazu ho kar

    na kuchh tartil na tahlil

    honTon se dua hi phuTti lekin hamari tera rozi raat ke har brij par

    bedar aur choukas thi

    gahe gahe ek lalkar aati thi azal ki lauh se

    aur hum manon miTTi ke niche sahm jate the

    hawa be-mehr thi us raat ThanDi kaTili

    sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha

    Source:

    meyaar (Pg. 136)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now