Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-jamal ka KHwab

Harris Khalique

shahr-e-jamal ka KHwab

Harris Khalique

MORE BYHarris Khalique

    ik ḳhvāb thā

    us ḳhvāb meñ

    ik shauq thā

    ik shahr thā

    us shahr ke

    sau rañg the

    har rañg meñ

    ik bekalī

    ik kashmakash

    ik shor thā

    vo kashmakash

    thī shauq

    ik asp jo

    muñh zor thā

    us shahr par

    utrā huā

    ik ruup thā

    jo qahr thā

    har samt thā

    har pahar thā

    be-ḳhauf thā

    be-mehr thā

    us ruup meñ

    ik sahar thā

    us par fidā

    ye dahr thā

    vo shauq thā

    ḳhud shahr thā

    ek KHwab tha

    us KHwab mein

    ek shauq tha

    ek shahr tha

    us shahr ke

    sau rang the

    har rang mein

    ek bekali

    ek kashmakash

    ek shor tha

    wo kashmakash

    thi shauq ki

    ek asp jo

    munh zor tha

    us shahr par

    utra hua

    ek rup tha

    jo qahr tha

    har samt tha

    har pahar tha

    be-KHauf tha

    be-mehr tha

    us rup mein

    ek sahar tha

    us par fida

    ye dahr tha

    wo shauq tha

    KHud shahr tha

    Source:

    Ishq Ki Taqveem Mein (Pg. 40)

      • Publisher: Maktaba Daniyal, Karachi
      • Year of Publication: 2012

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now