Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqaddus-e-maab

Asrar jamayee

taqaddus-e-maab

Asrar jamayee

MORE BYAsrar jamayee

    'asrār' mubtalā hue ik din azaab meñ

    ya.anī giraft-e-zāhid-e-izzat-ma.āb meñ

    taqvā o zohd faqr tasavvuf muḳhizāt

    kahtā thā dāstān magar ek baab meñ

    ḳhauf-e-ḳhudā kuchh aisā biThāyā ki al-amāñ

    din meñ zarā sukūn na rāhat thī ḳhvāb meñ

    vo iḳhtilāj-e-qalb huā thā ki ek din

    hāzir huā hakīm-e-matab janāb meñ

    do-chār baar nabzeñ TaTolīñ to daf.atan

    bole ki kuchh fasād hai shāyad luaab meñ

    lāzim hai is maraz meñ ifāqa ke vāste

    sandal ko ghis ke pīji.e fauran gulāb meñ

    jab ye sunā to haath ke tote uḌ ga.e

    sochā ki ab to maut aayā huuñ daab meñ

    sab chukā ke qarz karūñ fikr-e-āqibat

    jo umr hai guzārūñ husūl-e-savāb meñ

    aate is ḳhayāl ke ghar-bār bech kar

    saaqī ke paas pahle gayā iztirāb meñ

    saaqī se jab talab kiyā khātā udhār

    zāhid bhī hisāb thā mere hisāb meñ

    'asrar' mubtala hue ek din azab mein

    yani giraft-e-zahid-e-izzat-maab mein

    taqwa o zohd faqr tasawwuf muKHizat

    kahta tha dastan magar ek bab mein

    KHauf-e-KHuda kuchh aisa biThaya ki al-aman

    din mein zara sukun na rahat thi KHwab mein

    wo iKHtilaj-e-qalb hua tha ki ek din

    hazir hua hakim-e-matab ki janab mein

    do-chaar bar nabzen TaTolin to dafatan

    bole ki kuchh fasad hai shayad luab mein

    lazim hai is maraz mein ifaqa ke waste

    sandal ko ghis ke pijie fauran gulab mein

    jab ye suna to hath ke tote hi uD gae

    socha ki ab to maut ki aaya hun dab mein

    sab ka chuka ke qarz karun fikr-e-aqibat

    jo umr hai guzarun husul-e-sawab mein

    aate hi is KHayal ke ghar-bar bech kar

    saqi ke pas pahle gaya iztirab mein

    saqi se jab talab kiya khata udhaar ka

    zahid ka bhi hisab tha mere hisab mein

    Source:

    shair-e-aazam (Pg. 83)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now