Sher of Dilawar Figar
aurat ko chāhiye ki adālat kā ruḳh kare
jab aadmī ko sirf ḳhudā kā ḳhayāl ho
aurat ko chahiye ki adalat ka ruKH kare
jab aadmi ko sirf KHuda ka KHayal ho
vahāñ jo log anāḌī haiñ vaqt kāTte haiñ
yahāñ bhī kuchh mutashā.er dimāġh chāTte haiñ
wahan jo log anaDi hain waqt kaTte hain
yahan bhi kuchh mutashaer dimagh chaTte hain
aa ke bazm-e-sher meñ shart-e-vafā puurī to kar
jitnā khānā khā gayā hai utnī mazdūrī to kar
aa ke bazm-e-sher mein shart-e-wafa puri to kar
jitna khana kha gaya hai utni mazduri to kar
pāyān-e-kār ḳhatm huā jab ye tajziya
maiñ ne kahā huzūr to bole ki shukriya
payan-e-kar KHatm hua jab ye tajziya
main ne kaha huzur to bole ki shukriya
kahīñ golī likhā hai aur kahīñ maar
ye golīmār likkhā jā rahā hai
kahin goli likha hai aur kahin mar
ye golimar likkha ja raha hai
hamārā dost tufailī bhī hai baḌā shā.er
agarche ek baḌe aadmī kā chamcha hai
hamara dost tufaili bhi hai baDa shaer
agarche ek baDe aadmi ka chamcha hai
ek shādī to Thiik hai lekin
ek do tiin chaar had kar dī
ek shadi to Thik hai lekin
ek do tin chaar had kar di
siyāh zulf ko jo ban-sañvar ke dekhte haiñ
safed baal kahāñ apne sar ke dekhte haiñ
siyah zulf ko jo ban-sanwar ke dekhte hain
safed baal kahan apne sar ke dekhte hain
bas meñ baiThī hai mire paas jo ik zohra-jabīñ
mard niklegī agar zulf muñDā dī jaa.e
bas mein baiThi hai mere pas jo ek zohra-jabin
mard niklegi agar zulf munDa di jae
maiñ ne kahā kalām-e-'ravish' lā-javāb hai
kahne lage ki un kā tarannum ḳharāb hai
main ne kaha kalam-e-'rawish' la-jawab hai
kahne lage ki un ka tarannum KHarab hai
ġhazal kī shakl badal dī hai operation se
suḳhan-varī hai agar ye to surgery kyā hai
ghazal ki shakl badal di hai operation se
suKHan-wari hai agar ye to surgery kya hai
sunā ye hai ki vo suufī bhī thā valī bhī thā
ab is ke baa'd to paiġhambarī kā darja hai
suna ye hai ki wo sufi bhi tha wali bhi tha
ab is ke ba'd to paighambari ka darja hai
vasl kī raat jo mahbūb kahe good night
qā.eda ye hai ki english meñ duā dī jaa.e
wasl ki raat jo mahbub kahe good night
qaeda ye hai ki english mein dua di jae
har baat par jo kahtā rahā maiñ bajā bajā
us ne kahā ki yuuñ hī musalsal bajā karo
har baat par jo kahta raha main baja baja
us ne kaha ki yun hi musalsal baja karo
kal chaudhvīñ kī raat thī ābād thā kamrā tirā
hotī rahī dhin-tāk-dhin bajtā rahā tabla tirā
kal chaudhwin ki raat thi aabaad tha kamra tera
hoti rahi dhin-tak-dhin bajta raha tabla tera
maiñ bhī thā hāzir bazm meñ jab tū ne dekhā hī nahīñ
maiñ bhī uThā kar chal diyā bilkul nayā juutā tirā
main bhi tha hazir bazm mein jab tu ne dekha hi nahin
main bhi uTha kar chal diya bilkul naya juta tera
ek achchhā-ḳhāsā mard zanāne meñ ghus paḌā
goyā ki ek chor ḳhazāne meñ ghus paḌā
ek achchha-KHasa mard zanane mein ghus paDa
goya ki ek chor KHazane mein ghus paDa
is kā kyā hogā ye jo unvān aadhā rah gayā
ye bhī lete jaa.eñ jo sāmān aadhā rah gayā
is ka kya hoga ye jo unwan aadha rah gaya
ye bhi lete jaen jo saman aadha rah gaya
ḳhudī buland ho be-shak yahī thī merī raa.e
ye kab kahā thā ki qavvāl is meñ haath lagā.e
KHudi buland ho be-shak yahi thi meri rae
ye kab kaha tha ki qawwal is mein hath lagae
nahīñ karte haiñ be-rishvat liye kaam
yahī hai majnuoñ kā aaj dastūr
nahin karte hain be-rishwat liye kaam
yahi hai majnuon ka aaj dastur
vahāñ riyāz-e-musalsal se kaam chaltā hai
yahāñ gale ke sahāre kalām chaltā hai
wahan riyaz-e-musalsal se kaam chalta hai
yahan gale ke sahaare kalam chalta hai
likhī hai hāl-e-dil meñ hā.e-havvaz
ye hāl-e-zār likkhā jā rahā hai
likhi hai haal-e-dil mein hae-hawwaz
ye haal-e-zar likkha ja raha hai