Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ibn e Insha's Photo'

Ibn e Insha

1927 - 1978 | Karachi, Pakistan

Pakistani poet known for his ghazal "Kal chaudhanvi ki raat thi, shab bhar raha charcha tera.".

Quotes of Ibn e Insha

1K
Favorite

SORT BY

Sach ye hai ki kaahili mein jo maza hai wo kaahil hi jaante hain. Bhaag-daud karne waale aur subah-subah uthne waale aur warzish-pasand is maze ko kya jaanein.

Aausat ka matlab bhi log ghalat samajhte hain. Hum bhi ghalat samajhte the. Japan mein suna tha ki har doosre aadmi ke paas car hai. Humne Tokyo mein pahle aadmi ki bahut talaash ki lekin hamesha doosra hi aadmi mila. Maaloom hua pahle aadmi door-daraaz ke dehaat mein rehte hain.

Kisi daana ya naadaan ka maqoola hai ki jhoot ke teen darje hain. Jhoot, safed jhoot aur aa’daad-o-shumaar.

Duniya mein ye bahas hamesha se chali aa rahi hai ki anda pehle ya murghi. Kuch log kahte hain anda. Kuch ka kahna hai murghi. Eik ko hum murghi school ya firqa-e-murghia kah sakte hain. Doosre ko anda school. Humein anda school se munsalik samajhna chaahiye. Millat-e-baiza ka eik fard jaana chaahiye. Hamaara aqeeda is baat mein hai ki agar aadmi thaanedaar ya maulvi yaa'ni faqeeh-e-shahr ho to uske liye murghi pahle aur aisa ghareeb-e-shahr ho to uske liye anda pahle aur ghareeb-e-shahr se bhi gaya guzra ho to na uski dastaras murghi tak ho sakti hai na anda uski giraft mein aa sakta hai. Use apni zaat aur iski baqa ko in cheezon se pahle jaan'na chaahiye.

Button lagaane se ziyaada mushkil kaam button todna hai. Aur ye eik tarah se dhobiyon ka kaarobaari raaz hai. Humne ghar par kapde dhulwa kar aur pathkhwa kar dekha lekin kabhi is mein kaamiyaabi na hui jabki hamaara dhobi unhi paison mein jo hum dhulaai ke dete hain, poore button bhi saaf kar laata hai. Eik aur aasaani jo usne apne sarparaston ke liye faraaham ki hai, wo ye hai ki apne chhote bete ko apni laundry ke eik hisse mein buttonon ki dukaan khulwa di hai jahaan har tarah ke button ba-ri'aayat nirkhon par dastiyaab hain.

Jab koi cheez naayaab ya mahngi ho jaati hai to uska badal nikal hi aata hai jaise bhains ka ne’am-ul-badal moongfali. Aapko to ghee se matlab hai. Kahin se bhi aaye. Ab wo marhala aa gaya hai ki hamaare haan bakre aur dumbe ki sana’at bhi qaayam ho. Aap baazaar mein gaye aur dukaan-daar ne dibba khola ki janaab ye lijiye bakra aur ye lijiye pump se hawa is mein khud bhar lijiye. Khaal is bakre ki kareleen ki hai. Aur andar kamaaniyan stainless steel ki. Maghz mein foam rubber hai. Wash and wear hone ki guarantee hai. Baahar sahan mein baarish ya os mein bhi khada kar dijiye to kuch na bigdega. Hawa nikal kar refrigerator mein bhi rakha ja sakta hai. Aaj kal qurbaani waale yahi le jate hain.

Ek zamana tha ke hum Qutub bane apne ghar mein baithe rehte the aur hamaara sitaara gardish mein raha karta tha. Phir Khuda ka karna aisa hua ki hum khud gardish mein rahne lage aur hamaare sitaare ne Karachi mein baithe baithe aab-o-taab se chamakna shuru kar diya. Phir akhbaar Jang mein Aaj ka Shaa'ir ke unwaan se hamaari tasveer aur haalaat chhape. Choonki haalaat hamaare kam the lihaaza un logon ko tasveer badi kara ke chhaapni padi aur qabool soorat, saleeqa-shi'aar, paaband-e-saum-o-salaat aulaadon ke waalidain ne hamaari naukri, tankhwaah aur chaal-chalan ke muta'aliq maaloomat jama karni shuru kar di. Yun aib-beenon aur nuqta-cheeniyon se bhi duniya khaali nahi. Kisi ne kaha ye shaa'ir to hain lekin aaj ke nahi. Koi be-dard bola, ye aaj ke to hain lekin shaa'ir nahi. Hum bad-dil ho kar apne azeez dost Jameeluddin Ali ke paas gaye. Unhone hamaari dhaaras badhaai aur kaha dil maila mat karo. Ye dono fareeq ghalati par hain. Hum to na tumhein shaa'ir jaante hain na aaj ka maante hain. Humne kasmasaakar kaha, Ye aap kya farma rahe hain? Bole, Main jhoot nahi kahta aur ye raaye meri thodi hai sabhi samajhdaar logon ki hai.

Eik Jantari khareed lo aur duniya-bhar ki kitaabon se be-niyaaz ho jaao. Fehrist-e-ta’teelaat is mein, namaaz-e-eid aur namaaz-e-janaaza padhne ki taraakeeb, jaanwaron ki boliyaan, daayemi calendar, muhabbat ke taaweez, Ambiya-e-kiraam ki umrein, Auliya-e-kiraam ki karaamatein, lakdi ki paimaaish ke tareeqe, kaun sa din kis kaam ke liye mauzoon hai. Fehrist-e-urs-ha-e-buzurgaan-e-deen, sabun-saazi ke gud, Sheikh Saa’di ke aqwaal, cheeni ke bartan toadne aur sheeshe ke bartan jodne ke nuskhe, aa’za phadakne ke nataaej, kurra-e-arz ki aabaadi, tareekh-e-wafaat nikaalne ke tareeqe.

Eik zamaane mein akhbaaron se sirf khabron ka kaam liya jaata tha. Ya phir log siyaasi rahnumaai ke liye unhein padhte the. Aaj to akhbaar zindagi ka odhna-bichhauna hain. Seth ismein mandiyon ke bhaav padhta hai. Bade miyaan zarurat-e-rishta ke ishtihaaraat mulaahiza karte hain aur aahein bharte hain. Azeez talib-e-ilm film ke safhaat par nazar tikaata hai ilm ki daulat-e-naayaab paata hai. Bibi is mein handiyaa bhunne ke nuskhe dhoondhti hai aur baaz logon ne to akhbaari nuskhe dekh-dekh kar matlab khol liye hain. Pichle dino aurton ke eik akhbaar mein eik bibi ne likh diya tha ki pressure cooker to mahnga hota hai use kharidne ki zarurat nahi. Ye kaam ba-khoobi daalda ke khaali dibbe se liya ja sakta hai. Kifaayat-shi'aar biwiyon ne ye nuskha aazmaya. Nateeja ye hua ki kaee zakhmi hui aur ek-aadh bibi to marte-marte bachi.

Button lagaane se ziyaada mushkil kaam button todna hai. Aur ye eik tarah se dhobiyon ka kaarobaari raaz hai.

Hamaare khayaal mein akhbaaron ke dygist bhi nikalne chaahiyein kyunki kiske paas itna waqt hai ki baarah-baarah, chaudah-chaudah safhe padhe. Log to bas toast ka tukda munh mein rakh, chaae ki piyaali peete hue surkhiyon par nazar daalte hain. Bada akhbaar nikaalne ke liye yoon bhi laakhon rupaye darkaar hote hain. Hamaara iraada hai ki Surkhi ke naam se eik roznaama nikaalein aur public ki khidmat karein.

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now