Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Kishan Kumaar Waqaar

Sher of Kishan Kumaar Waqaar

377
Favorite

SORT BY

haath pistāñ pe ġhair kā pahuñchā

aap bhī ab hue anār-farosh

hath pistan pe ghair ka pahuncha

aap bhi ab hue anar-farosh

ātishīñ husn kyuuñ dikhāte ho

dil hai āshiq kā koh-e-tūr nahīñ

aatishin husn kyun dikhate ho

dil hai aashiq ka koh-e-tur nahin

bahut dinoñ se huuñ aamad kā apnī chashm-ba-rāh

tumhārā le gayā ai yaar intizār kahāñ

bahut dinon se hun aamad ka apni chashm-ba-rah

tumhaara le gaya ai yar intizar kahan

tumhāre ishq-e-abrū meñ hilāl-e-īd kī sūrat

hazāroñ uñgliyāñ uTThīñ jidhar se ho ke ham nikle

tumhaare ishq-e-abru mein hilal-e-id ki surat

hazaron ungliyan uTThin jidhar se ho ke hum nikle

maiñ kahūñ aap tumheñ aap kaheñ tum mujh ko

tum jatāte nahīñ kis roz tahakkum mujh ko

main kahun aap tumhein aap kahen tum mujh ko

tum jatate nahin kis roz tahakkum mujh ko

jo mujh par hai vahī hai ġhair par lutf

huā hai ḳhātma is par vafā kā

jo mujh par hai wahi hai ghair par lutf

hua hai KHatma is par wafa ka

husn un kā agar hai sañgīñ-dil

ishq apnā bhī saḳht baazū hai

husn un ka agar hai sangin-dil

ishq apna bhi saKHt bazu hai

ba-qaid-e-vaqt paḌhī maiñ ne pañjgāna namāz

sharāb piine meñ kuchh ehtiyāt mujh ko nahīñ

ba-qaid-e-waqt paDhi main ne panjgana namaz

sharab pine mein kuchh ehtiyat mujh ko nahin

gar husn-e-gandumī tirā un ko na thā pasand

aadam ne chhoḌā kis liye bāġh-e-bahisht ko

gar husn-e-gandumi tera un ko na tha pasand

aadam ne chhoDa kis liye bagh-e-bahisht ko

na toḌo dil ki hai ka.aba kā Dhānā

ye do ghar haiñ magar buniyād hai ek

na toDo dil ki hai kaba ka Dhana

ye do ghar hain magar buniyaad hai ek

yaar ne ḳhatt-o-kabūtar ke kiye haiñ TukḌe

purze kāġhaz ke kareñ jam.a ki par jam.a kareñ

yar ne KHatt-o-kabutar ke kiye hain TukDe

purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen

kuchh ġham firāq kā hai na kuchh vasl kī ḳhushī

huuñ us ke zauq-o-shauq meñ masrūr raat din

kuchh gham firaq ka hai na kuchh wasl ki KHushi

hun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din

chhuptā nahīñ hai dil meñ kabhī raaz ishq kā

ye aag vo hai jis ko nahīñ taab sang meñ

chhupta nahin hai dil mein kabhi raaz ishq ka

ye aag wo hai jis ko nahin tab sang mein

baiThe jo us galī meñ na mar kar bhī uTThe ham

ik Dher gir ke ho ga.e dīvār kī tarah

baiThe jo us gali mein na mar kar bhi uTThe hum

ek Dher gir ke ho gae diwar ki tarah

imsāk meñ rahegī na pābandī-e-manī

hargiz nahīñ haiñ muġhbache bint-ul-inab se kam

imsak mein rahegi na pabandi-e-mani

hargiz nahin hain mughbache bint-ul-inab se kam

dhuup meñ rakh qafas na ai sayyād

sāya-parvarda-e-chaman huuñ maiñ

dhup mein rakh qafas na ai sayyaad

saya-parwarda-e-chaman hun main

mujhī ko gāliyāñ dete rahe vo

magar letā rahā bose chaTā-chaT

mujhi ko galiyan dete rahe wo

magar leta raha bose chaTa-chaT

hai jab se dast-gīr-e-junūñ kū-e-yār meñ

phirtā huuñ ek paañv se parkār kī tarah

hai jab se dast-gir-e-junun ku-e-yar mein

phirta hun ek panw se parkar ki tarah

ham bandagān-e-ishq kā maslak nirālā hai

kāfir kī is meñ vaz.a na dīñ-dār kī tarah

hum bandagan-e-ishq ka maslak nirala hai

kafir ki is mein waza na din-dar ki tarah

muḳhātab jo zāhid se tū ho gayā

to us kā bhī ThanDā vuzū ho gayā

muKHatab jo zahid se tu ho gaya

to us ka bhi ThanDa wuzu ho gaya

bosa dahan kā us ke na pā.eñge apne lab

dāġhī hai maiñ ne nok zabān-e-savāl kī

bosa dahan ka us ke na paenge apne lab

daghi hai main ne nok zaban-e-sawal ki

kis vāste laḌte haiñ baham shaiḳh-o-barahman

ka.aba na kisī kā hai na but-ḳhāna kisī kā

kis waste laDte hain baham shaiKH-o-barahman

kaba na kisi ka hai na but-KHana kisi ka

ashk-e-hasrat hai aaj tūfāñ-ḳhez

kashtī-e-chashm kī tabāhī hai

ashk-e-hasrat hai aaj tufan-KHez

kashti-e-chashm ki tabahi hai

jis ko paas us ne biThāyā ek din

us ko duniyā se uThāyā ek din

jis ko pas us ne biThaya ek din

us ko duniya se uThaya ek din

ek jhūTe ke vasf-e-dandāñ meñ

sachche motī sadā pirotā huuñ

ek jhuTe ke wasf-e-dandan mein

sachche moti sada pirota hun

din lage haiñ ye raat ko merī

chashm-e-āhū charāġh-e-sahrā hai

din lage hain ye raat ko meri

chashm-e-ahu charagh-e-sahra hai

aariz pe rahī zulf-e-siyah-fām hamesha

pāmāl rahā kufr kā islām hamesha

aariz pe rahi zulf-e-siyah-fam hamesha

pamal raha kufr ka islam hamesha

zulf o abrū ne to ai jaan thā bāñdhā maarā

par tirī chashm ne kar ke mujhe be-jāñ chhoḌā

zulf o abru ne to ai jaan tha bandha mara

par teri chashm ne kar ke mujhe be-jaan chhoDa

go burā hī dair ho das pāñch dekhīñ sūrateñ

ka.abe meñ to TuuTī mūrat bhī nazar aa.ī nahīñ

go bura hi dair ho das panch dekhin suraten

kabe mein to TuTi murat bhi nazar aai nahin

Tīm-Tām aa.ine kī jo hai vo sab muñh par hai

ālam-e-hū ke sivā ghar meñ magar kuchh bhī nahīñ

Tim-Tam aaine ki jo hai wo sab munh par hai

aalam-e-hu ke siwa ghar mein magar kuchh bhi nahin

sharāb ġhair ko de kar jalā na har karvaT

na dil ko aag pe tū sūrat-e-kabāb phirā

sharab ghair ko de kar jala na har karwaT

na dil ko aag pe tu surat-e-kabab phira

dayār-e-ishq meñ ye mas.ala hai muftā-bih

ba-juz harām kī raġhbat ke kuchh halāl nahīñ

dayar-e-ishq mein ye masala hai mufta-bih

ba-juz haram ki raghbat ke kuchh halal nahin

ukhḌī bātoñ se us kī sābit hai

kuchh na kuchh aaj ġhair jaḌ ke uThā

ukhDi baaton se us ki sabit hai

kuchh na kuchh aaj ghair jaD ke uTha

Recitation

Speak Now