Sher of Rasheed Hasrat
shikast khā kar bhī muskurānā hai merī fitrat
ki mujh pe sāya-fagan hamesha du'ā.eñ maañ kī
shikast kha kar bhi muskurana hai meri fitrat
ki mujh pe saya-fagan hamesha du'aen man ki
use ham ne samundar paar bhejā to kamāne ko
parā.e des meñ jaane hamārā laa'l kaisā hai
use hum ne samundar par bheja to kamane ko
parae des mein jaane hamara la'l kaisa hai
'rashīd' peḌ ke saa.e se sukh kī thī ummīd
ye kyā ki beTā bhī ghar meñ kamā.ī detā nahīñ
'rashid' peD ke sae se sukh ki thi ummid
ye kya ki beTa bhi ghar mein kamai deta nahin
sab yazīdoñ ne yahāñ mil kar kiyā hai faisla
karbalā tarsegā phir ik buuñd paanī ke liye
sab yazidon ne yahan mil kar kiya hai faisla
karbala tarsega phir ek bund pani ke liye
bhuuk āñkhoñ meñ namī ban ke chamak jaatī hai
bachche bhūke mire dahqān ke so jaate haiñ
bhuk aankhon mein nami ban ke chamak jati hai
bachche bhuke mere dahqan ke so jate hain
maiñ bhī tere bin guzāre vaqt ko bhūlā rahūñ
tū bhī apnī be-kalī kī dāstāñ mat kar bayāñ
main bhi tere bin guzare waqt ko bhula rahun
tu bhi apni be-kali ki dastan mat kar bayan
ye tai thā ham anā ke faisle se muñh na moḌeñge
rahī dastār qaa.em tan se lekin sar gayā āḳhir
ye tai tha hum ana ke faisle se munh na moDenge
rahi dastar qaem tan se lekin sar gaya aaKHir