SEARCH RESULTS
Showing search results for "marhale"
Sher MATCHES FOR "marhale"
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai
Tabish Dehlvi
Sher
har baat jaante hu.e dil maantaa na thaa
ham jaane e'tibaar ke kis marhale me.n the
Amjad Islam Amjad
Sher
Sardar Asif
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
jiine kii aarzuu me.n jo marte hai.n saarii umr
shaayad hayaat naam isii marhale kaa hai
Unknown
Sher
suntaa huu.n sura.ngo.n the farishte mire huzuur
mai.n jaane apnii zaat ke kis marhale me.n thaa
Ehsan Danish
Sher
maqaam jin kaa mu.arriKH ke haafize me.n nahii.n
shikast o fat.h ke maa-bain marhale ham log
Khursheed Rizvi
Sher
ye aab-o-taab isii marhale pe KHatm nahii.n
ko.ii charaaG hai is aa.ine se baahar bhii
Ghulam Husain Sajid
Sher
un ke ruKHsaar pe Dhalke hu.e aa.nsuu tauba
mai.n ne shabnam ko bhii sho.alo.n pe machalte dekhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
mujh me.n saat samundar shor machaate hai.n
ek KHayaal ne dahshat phailaa rakkhii hai
Saqi Faruqi
Sher
ta.alluq to.Dne me.n pahl mushkil marhala thaa
chalo ham ne tumhaaraa bojh halkaa kar diyaa hai
Hasan Abbas Raza
Sher
zamaana aql ko samjhaa hu.aa hai mish.al-e-raah
kise KHabar ki junuu.n bhii hai saahib-e-idraak
Allama Iqbal
Sher
jalaa ke mish.al-e-jaa.n ham junuu.n-sifaat chale
jo ghar ko aag lagaa.e hamaare saath chale