aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".oar"
aisii dahshat thii fazaa.o.n me.n khule paanii kiiaa.nkh jhapkii bhii nahii.n haath se patvaar gire
saamne ko.ii bha.nvar hai na talaatum phir bhiichhuuTtii jaa.e hai patvaar ye qissa kyaa hai
ham Duub ga.e jaagtii raato.n ke bha.nvar me.nhaath us kaa hamaare liye patvaar hii kab thaa
duurii hai bas ek faisle kiipatvaar chunuu.n ki par banaa.uu.n
girdaab ke KHuunii.n halqo.n se jab khel chukii hai naav bhiipatvaar badalnaa kyaa ma.anii? mallaaho.n ko samjhaa.o bhii
kaise dariyaa ko karuu.n paar ki mere mohsinnaav to dete hai.n patvaar nahii.n dete hai.n
ma.njdhaar se Takraa.e hai.n himmat nahii.n haareTuuTii hu.ii patvaar pe ye zo'm rahaa hai
bas kahii.n chhor samundar kaa nazar aa jaa.eko.ii taaqat mirii patvaar me.n aa jaatii hai
lahro.n ke jaagne par kuchh bhii na kaam aa.iikyaa chiiz thii jo mujh ko patvaar lag rahii thii
jhiil patvaar vaapas na degii kabhiiapnii kashtii ab apne sahaare uThaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books