aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "lap"
ab ke kuchh aisii sajii mahfil-e-yaaraa.n jaanaa.nsar-ba-zaanuu hai ko.ii sar-ba-garebaa.n jaanaa.n
bahr kam-zarf hai basaan-e-habaabkaasa-lais ab hu.aa hai tuu jis kaa
zamii.n kii god bhartii hai to qudrat bhii chahaktii haina.e patto.n kii aahaT se bhii shaaKHe.n bhiig jaatii hai.n
haa.e puuchho na tasavvur ke mazegod me.n tum ko liye baiThe hai.n
hairat-e-fikr-e-suKHan saaz-e-salaamat hai 'asad'dil pas-e-zaanuu-e-aa.iina biThaataa hai mujhe
uTh ke jaa baiThaa vahii ashraafiya kii god me.nham Gariibo.n ne jise samjhaa avaamii aadmii
mirii hii god me.n kyuu.n kaT ke gir pa.De hai.n 'nadiim'abhii du.aa ke liye the jo haath uThaa.e hu.e
ajab nahii.n ki chaman-dar-chaman bane har phuulkalii kalii kii sabaa jaa ke god bhar aa.ii
ai raat mujhe maa.n kii tarah god me.n le ledin bhar kii mashaqqat se badan TuuT rahaa hai
mujh se puuchho kaise kaaTii mai.n ne parbat jaisii raattum ne to godii me.n le kar ghanTo.n chuumaa hogaa chaa.nd
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books